Cheque Book paane ke liye humen pehle apne bank ki branch mein jaana hota tha, aur wahan jaakar Cheque Book lene pehle humen Cheque Book ke liye request karna hota tha aur iske liye humen ek form bharna padta tha. Branch jaakar, Cheque Book Request form bharne ke kuch dino baad humen humari Cheque Book milti thi, yeh branch se bhi mil jaati thi ya humare address par bhej di jaati thi.
Lekin ab aisa nahi hai, ab aap Cheque Book ke liye online hi request kar sakte hain. Zyadatar bank ab yeh facility dete hain ki jisse aap ghar baithe hi online Cheque Book ke liye request kar sakte hain, aur kuch dino mein Cheque Book aapke address par bhej di jaati hai. Cheque Book ke liye online tabhi request ki jaa sakti hai, jab customer ke paas Internet Banking ya Mobile Banking seva moujood ho.

Is article mein hum aapko batayenge ki agar aap State Bank of India ke customer hain to State Bank of India ke Cheque Book ke liye online request kaise kar sakte hain.
State Bank of India ki Cheque Book online request karne ke liye, humare paas State Bank of India ki Internet Banking honi chahiye ya Mobile Banking honi chahiye. Aur is article mein hum YONO SBI app ke zariye SBI ki Cheque Book ke liye online request karenge. YONO SBI app State Bank of India dwara banaya gya ek mobile banking app hai. YONO SBI ke liye pehle register karna padta hai tab yeh app activate hota hai aur aap SBI ki mobile banking sevaon ka laabh utha sakte hain. Agar aapko YONO SBI app ke registration process ke baare mein jaankari chahiye to aap humara yeh article padhen.
YONO SBI app ki madad se online Cheque Book request karne ke liye aapko in steps ko follow karna hoga.
Agar abhi tak aapne YONO SBI app ko activate nahi kiya hai to sabse pehle usko activate kar len, aur uske liye aap humara purana article padh len.
YONO SBI app ko activate kar lene ke baad aap isko open karen aur apna MPIN ya phir apne Internet Banking ki Login ID aur password ka istemaal karke login karen.




Step 1:  Login hone ke baad aapko kuch aisa interface nazar aayega. Yahan aapko 'Quick Links' mein 'Service Requests' ka ek option dikhai dega, aapko isi option par click karna hai.







Step 2: 'Service Requests' par click karne par ek naya page open hoga. Is page mein aapko ' Cheques' ka option nazar aayega, aapko is par click karna hoga.








Step 3:  Cheques' par click karne par phir se ek naya page khulega, yahan aapko 'Request Cheque Book' ka option milega aur is par aapko click karna hoga.


                                                              


Step 4: 'Request Cheque Book' par click karne ke baad phir se ek naya page khulega aur yahan aapko apna account select karna hoga jaisa ki aapko 'Select Account' ka option dikhai de raha hoga. Uske baad aapko jitne panno (pages, leaves) ki Cheque Book chahiye woh select karna hoga, aur iske liye bhi aapko 'Number of leaves required' ka option nazar aa raha hoga.
Yahan aapko ek baat dhyan deni hogi ki Cheque Book bank aapko aise hi free mein nahi deta hai, bank kuch sharton par hi chuninda logon ko Cheque Book free mein issue karta hai. Aur aamtaur par bank per leave (panne, page) par kuch charge rakhta hai. Isliye aapko jitne leaves ki zaroorat ho utni select karen. Leaves select karte time aapko Terms & Condition bhi bataye jaayenge aur saath hi per leave ka charge (shulk) bhi bataya jaayega. Aur yeh sab padhne ke baad aap ko 'Ok' par click karna hoga. Aur uske baad aapko 'I am aware of the charges as applicable' par check mark lagakar agree karna hoga aur phir 'Next' par click karna hoga.









Step 5: 'Next' par click karne ke baad aapko apna address select karna hoga. Yahan aapko 3 tarah ke address dikhaye jaayenge 'Registered address', 'Last dispatched address', aur 'New address'. To aapko jis address par Cheque Book mangaani ho woh address aap yahan se select kar lijiye. Registered address ka matlab hota hai woh address jo aapke bank khaate se registered ho, Last dispatched address ka matlab hai jis address par aapko isse pehle bank dwara kuch bheja gya ho. New address ka matlab hai ki agar aap kisi naye address par apni Cheque Book mangana chahte hain to woh aap New address select karke darj kar sakte hain.
To aapko jis address par apni Cheque Book mangani ho woh address aap select kar len aur select karne ke baad 'Next' par click karen.




Step 6: 'Next' par click karne ke baad Review karne ke liye aapke mobile screen par aapke dwara fill ki gai sabhi details dikhai jayengi. Yahan aapko apne dwara di gai jaankariyon ko acche se check karna hai aur uske baad 'Confirm' par click karna hai.



'Confirm' par click karte hai ek popup open hoga aur ismein bataya gya hoga ki aapke Cheque Book ki request ############ number ke sath svikaar (accept) kar li gai hai. Popup message mein aapko Cheque Book Request ka Reference Number bhi diya jayega.





To is tarah se online SBI ke Cheque Book ke liye request kiya jaata hai. Ummid karte hain ki aapko humara dwara di gai jaankari se kaafi madad mili hogi. Agar aapko yeh lekh pasand aaya ho to Please humen subscribe kar len, taaki aane wale samay mein bhi hum isi tarah aapki help karte rahen.