Agar
Agar
Is article mein hum aapko batayenge ki YONO SBI app ke liye kaise register karte hain , jisse ki aap SBI ki Mobile Banking sevaon ka laabh le sakte hain .
YONO SBI app ke registration ke liye aapke paas State Bank of India (SBI) ki Internet Banking ID aur Password hona chahiye , ya phir State Bank of India ka Debit/ATM Card hona chahiye , tabhi aap YONO SBI app ke liye register kar payenge .
To YONO SBI app ko activate/register karne ke liye aapko kuch simple se steps follow karne honge .
Iske baad usko open kar lijiye aur in steps ko follow karte jaiye.
Step 1: YONO SBI app ko open karne ke baad aapko do (2) options dikhayi denge 'New to SBI' aur 'Existing Customer' to aapko doosre wale option 'Existing Customer' ko choose karna hoga. Kyunki aap tabhi YONO SBI app ke liye register kar payenge jab aap State Bank of India ke moujooda grahak honge. Agar aap 'New to SBI' par click karte hain to iska matlab hai aapke paas abhi SBI mein account moujood nahi hai. Aur aise mein pehle aapko SBI mein apna account kholna hoga tabhi aap YONO SBI ke liye register kar payenge.
Step 2: 'Existing Customer' par click karne ke baad aap se poocha jayega ki 'Kya aapke paas SBI Internet Banking ID hai?' to agar aapke paas SBI Internet Banking ID hai to aapko 'Yes' par click karna hoga. Agar nahi hai to 'No' par click kar sakte hain.
Agar aap 'No' par click karte hain to aapko apne SBI ke ATM Card se YONO SBI app ke liye register karna hoga. Lekin yahan hum ATM Card se YONO SBI ke liye register nahi karenge, balki iske liye hum Internet Banking ID ka istemaal karenge.
Step 3: Step 2 mein humen 'Yes' par click karna hoga, tabhi hum SBI ki Internet Banking ka istemaal karke YONO SBI ke liye register karenge. 'Yes' par click karne ke baad yahan aapse 'User Name' aur 'Password' poocha jayega. to aapko yahan par apne SBI ki Internet Banking ka User Name aur Password dena hoga. Yahan aapse 'Referal Code' bhi maanga jaa raha hai, lekin yeh optional hai aur yeh dena zaroori nahi hai. To agar aapke paas 'Referal Code' hai to aap Referal Code bhi de sakte hain, aur nahi hai to isko chhod bhi sakte hain. Bas aapko yahan par apne Internet Banking ka User Name aur Password fill karna hoga aur fill karne ke baad 'Submit' par click karna hoga.
Step 4: 'Submit' par click karne ke baad aapse kuch cheezon ko lekar aapki sahmati maangi jayegi, to aap isko acche se padhkar inke 'Terms and Conditions' par check mark ✔ lagakar 'Next' par click kariye.
Step 5: 'Next' par click karne ke baad aapko apna 'MPIN' set karna hoga. Yahan aap apni marzi se koi sa bhi MPIN set kar sakte hain. MPIN set karne ke baad 'Next' par click karna hoga.
'Next' par click karte hi aapke bank account se registered mobile number par ek OTP bheja jayega. Yahan par aap se wahi OTP maanga jayega aur aapko yahan woh OTP daalkar 'Next' par click karna hoga.
Step 6: 'Next' par click karne ke baad YONO SBI app register/activate ho jayega. Ab bas aapko login karna hai, login karne ke liye aap apne MPIN ka istemaal kar sakte hain ya phir apne Internet Banking ki User ID aur Password ka bhi istemaal kar sakte hain.
Login ho jaane ke baad kuch is tarah ka interface hoga YONO SBI app ka.
Yeh Bhi Padhen:
- Amazon Associates Program Kya Hai? - Amazon Associates Account Kaise Banayen?
- Internet Banking Kya Hai Aur Iska Istemaal Kyun Kiya Jata Hai? Internet Banking ke Kya Faide Hain?
- PhonePe Kya Hai Aur PhonePe Istemaal Karne ke Kya Faide Hain?
- Bank of Baroda ki Internet Banking ke Liye Online Register Kaise (Activate) Karen?
19 Comments
well done sadiq 👍👍
ReplyDeleteThank you
DeleteVery nice👍👏
ReplyDeleteThank you bro
DeleteNice pos
ReplyDeleteBahut accha hai
ReplyDeletenice
ReplyDeleteThank you
DeleteBht acha hai ......Sadiq bhai
ReplyDeleteshukriya bhai
DeleteBahot acha hai
ReplyDeleteShaandar
ReplyDeleteThanks
ReplyDeleteVery nice
ReplyDeleteNice
ReplyDeleteBadhiya ha
ReplyDeleteNice
ReplyDeleteGood job . Keep it up
ReplyDeleteThank u bhai
DeletePost a Comment