Google Pay Google
Google Pay direct
Google Pay
Google Pay
Google Pay ka interface
To
Agar
Google Pay Account banane ke liye in requirements ko fulfill karna hota hai :
Aapke paas bank accounthona chahiye - Bank account
mein aapka mobile number registeredhona chahiye Aapke paas ATM/Debit Cardhona chahiye
Agar aapke paas yeh sabhi cheezen moujood hain to aap Google Pay ka account bana sakte hain .
To agar aapko Google Pay ka account banana hai to in steps ko follow kariye .
Step 1: Sabse pehle aapko apne mobile phone mein apne phone ke app store se 'Google Pay' app download karna hoga . Download karne ke baad aap isko open karen . Open karne ke baad aapko apni language (भाषा) choose karni hai yahan aapko kai languages dikhai dengi to aap jis language mein is app ko use karna chahte hain woh language aapko choose karni hoti hai . Language choose karne ke baad aapko 'Next' karna hoga jaisa ki picture mein dikhaya jaa raha hai .
Step 2: 'Next' par click karne ke baad aapko apna mobile number daalna hota hai , aur iske baad aapko phir se 'Next' par click karna hota hai .
Step 3: 'Next'karne ke baad aapko apna Email ID select karna hota hai , jaisa ki aap picture mein dekh sakte hain . Apni Email ID select karne ke baad aapko 'Continue' par click karna hoga .
Step 8: 'Proceed' par clickkarne ke baad aapko pehle apne Debit/ATM Card ki detail deni hogi uske baad hi aap UPI PIN create kar sakenge . To sabse pehle aapko apne Debit/ATM Card ke last 6 digits dene honge aur uske baad Debit/ATM Card ki expiry date deni hogi aur uske baad 'Next' par click karna hai .
Step 9: Iske baad aapko UPI PIN banana hai aur uske liye aapko 'Create UPI PIN' par click karna hoga . Aur uske baad aapko 6 digits ka apna UPI PIN banana hai , iske liye aap apni marzi se jo chahen 6 digits ke number choose karke bana sakte hain .
Step 3: 'Next'
Step 4: 'Continue' par click karne ke baad aapka Mobile Number verify kiya jayega aur iske liye aapke Mobile Number par ek OTP bheja jayega .
Jaise hi aapko OTP mil jaye to ya aap khud OTP daalkar Next par click karen ya yeh khud automatic OTP detect kar lega aur aapko sirf 'Next' par click karna hoga .
Step 5: 'Next' par click karne ke baad aapse pucha jayega ki is app ko lock karne ke liye 'Screen Lock' ko choose karna chahte hain ya 'Google PIN' ko ? kyunki yeh ek payment app hai aur agar by chance aapka mobile kisi doosre vyakti ke hath lag gya to aapke account ke paise jaa sakte hain . Isliye security ke liye isko lock karna padta hai .
To agar aap apna 'Screen Lock' rakhna chahte hain is app ko lock karne ke liye to woh bhi rakh sakte hain aur agar aap PIN rakhna chahte hain to PIN bhi rakh sakte hain . To agar aap apne 'Screen Lock' ka use karna chahte hain to pahla wala option 'Use your screen lock' choose karen . Aur agar 'Google PIN' ka istemaal karna chahte hain to 'Create Google PIN' ka option choose karen , aur 'Continue' karke apna PIN create karen .
Step 6: PIN banane ke baad aapko apna Bank Account add karna hota hai , jabki aapke Google Pay ka account to ban jaata hai lekin bina Bank Account add kiye isse koi transaction nahi kiya jaa sakta hai .
To apne Bank Account ko add karne ke liye aapko 'ADD BANK ACCOUNT' par click karna hoga . Uske baad aap jaise hi 'ADD BANK ACCOUNT' par click karenge aapke saamne dher saare banks ki list aajayegi , is list se aap apna Bank select kar sakte hain jismein aapka Account ho.
Chunki yeh banks ki kaafi lambi list hai to aapko apna Bank dhoondhne mein time lag sakta hai to aap search bar ki madad se apne bank ko search karke select kar sakte hain .
Step 7: Jab aap us Bank ko select kar lete hain jismein ki aapka Account hota hai to Google Pay yeh pata lagane ke liye ki kya aapka us selected Bank mein Account hai , ya nahi ? to uske liye Google Pay aapke number se ek SMS karta hai . Yeh SMS verification ke liye hota hai ki aapne jo bank select kiya hai usmein aapka Account hai ya nahi . Iske liye aapko usi Mobile Number se Google Pay Account banana hota hai jo aapke Bank Account se linked ho. To agar aap usi number se Google Pay Account bana rahe hain to yeh verification turant ho jayega . Uske baad aapko apne Bank Account ke liye UPI PIN banana hota hai , to simply iske liye aap 'Proceed' par click karen aur apna UPI PIN create karen .
Step 8: 'Proceed' par click
Iske baad aapke Google Pay ka account ban jaata hai , aur ab aap online payment ke liye Google Pay ka istemaal kar sakte hain .
To is tarah se Google Pay ka account banaya jaata hai , yeh koi bahut zyada complicated nahi hai , lekin doosre payment apps se thoda complicated lag raha hai .
Google Pay app ka interface bahut hi simple sa dikhne wala interface hai , yahan aapko bahut si facilities milti hain , jaise ki Mobile Recharge, Bill Payments, Bank Transfer, UPI ID, QR Code.
Overall Google Pay online payment ke liye bahut hi easy aur simple hai , aur filhaal 50 million android phone users is app ka istemaal kar rahe hain .
1 Comments
Wow tussi great ho sir
ReplyDeletePost a Comment