HDFC Bank India ka doosra sabse bada private sector bank hai, lekin is bank ki popularity ke aage sabhi bank chote lagte hain. HDFC Bank private bankon mein sabse zyada revenue generate karne wala bank hai. Zyadatar log HDFC Bank mein apna khaata khulwaana pasand karte hain, kyunki HDFC Bank ka performance record bahut zabardast raha hai. HDFC Bank apne customers ko dher saari aur kamaal ki suvidhayen deta hai, isliye log HDFC Bank mein khaata kholne ki iccha rakhte hain.

Agar aapne HDFC Bank mein apna khaata khol liya hai to ab aapko kisi doosre bank mein khaata kholne ki kabhi zaroorat nahi padegi, kyunki HDFC Bank mein aapko saari facilities milengi, jisse ki aapko kisi doosre bank mein khaata kholne ki zaroorat hi nahi padegi. Isliye agar aapka khaata HDFC Bank mein hai to aapki sabhi banking ki zarooraten puri ho jaayengi.
Aur log isliye bhi HDFC Bank mein khaata kholna chahte hain, kyunki HDFC ke Credit Card se lekar Debit Card tak par aksar koi na koi offer bank samay samay par deta rahta hai. Aur jitne offers HDFC Bank deta hai shayad utna koi aur bank nahi deta hoga, offer ke chalte customers ko kai saare products par kuch percent ki chhoot milti hai chhoot kisko nahi chahiye? isliye log HDFC Bank mein account kholne ki khwahish rakhte hain.
To is lekh mein hum HDFC Bank ke khaate se sambandhit hi aapko jaankari dene wale hain. Hum aapko batayenge ki kaise aap bina HDFC Bank ki branch mein gaye ghar baithe hi online HDFC Bank mein apna account khol sakte hain..
Halanki online account kholne par aapko account number ya customer turant nahi milta hai. Aapko online Account Opening Form fill karke submit karna hota hai, uske baad account opening ki application bank ko pahuchti hai, phir bank ka representative (pratinidhi) aap se contact karega aur aap se appointment fix karega, uske baad jis din aur time ka aapne appointment fix kiya hoga bank ka representative (pratinidhi) us din aur time ko aapke ghar pahuchega aur aap se aapki signature aur zaroori documents ki copies lega, sath mein aapko original documents bhi dikhaane honge jaise aap bank mein dikhaate hain. Uske baad sabhi documents ko bank verify karega aur kuch dinon mein bank aapko Welcome Kit bhej dega, ya phir aapko bank se khud hi collect karne ko kaha jayega. Welcome Kit mein aapka Passbook hoga, Debit Card hoga aur aapke Internet Banking ka Login ID aur Password bhi ho sakta hai.


Yeh Bhi Padhen:

To ek tarah se aap yeh samajhiye ki jis tarah se aap bank ki branch mein jaakar account kholne ke liye 'Account Opening Form' ko fill karte hain aur bank dwara maange gaye sabhi documents ki copies us form ke sath submit karte hain, waise hi aapko online account kholte samay bhi karna hota hai, bas aapko faida yeh hota hai ki aapko bank branch jaane ki zaroorat nahi padti hai aur bank ka pratinidhi khud aapke ghar aaakar sabhi zaroori documents collect karta hai, aur verification ke baad aapka account khul jaata hai.

To agar aap bhi branch jaane ki jhanjhat mein nahi padna chahte hain aur HDFC Bank mein apna Savings Account kholna chahte hain to aap humaare dwara bataye gaye steps ko follow kariye aur aap bahut hi aasani se HDFC Bank mein apna Saivngs Account khol lenge.
Hum aapko batana chahenge ki yeh koi Zero Balance Account nahi, HDFC Bank online kai tarah ke Savings Account offer karta hai, jaise ki Digisave Youth, Regular Savings Account, SavingsMax Account, Senior Citizens Account, Women's Savings Account in sabhi Accounts mein niyuntam raashi yaani Monthly Average Balance rakhna hi hoga.
HDFC Bank mein online kai tarah ke bank account ke liye apply kar sakte hain, jaise ki Digisave, Youth, Regular Savings Account, SavingsMax Account, Senior Citizens Account etc.
To agar aapko HDFC Bank mein online account kholna hai to humaare dwara bataye jaa rahe steps ko follow kariye.

Step 1: Sabse pehle aapko HDFC Bank ki official websit ko apne browser mein open karna hoga. HDFC Bank ki website par jaane ke baad aapko 'SAVINGS ACCOUNT' ka option milega, aur is option par aapko click karna hoga.




'SAVINGS ACCOUNT' par click karne ke baad aapko 2 option milenge 'APPLY NOW' aur ' KNOW MORE' to humen Savings Account ke liye apply karna hai to hum 'APPLY NOW' par click karenge.





Step 2: 'APPLY NOW' par click karne ke baad ek naya page open hoga, aur yahan 2 option hote hain 'Existing Customer' aur 'Continue using your Mobile Number' to aapko 'Continue using your Mobile Number' click karna hoga.



'Continue using your Mobile Number'  par click karne ke baad aap se aapka Mobile Number maanga jayega, to yahan par aap apna Mobile Number daal dijiyega.



Mobile Number daalne ke baad aapko 'Submit' par click karna hoga. 'Submit' par click karne par aap se sahmati maangi jayegi ki aap HDFC Bank aur unke pratinidhi ko adhikaar de rahe hain ki woh aapke khaate ke aavedan ke silsile mein aapko call aur SMS kar sakte hain. To is par aapko check mark ✓ lagakar 'Ok' par click karna hoga.



'Ok'  par click karne ke baad aapko phir se 'Submit' par click karna hoga.




Step 3: 'Submit'  par click karne ke baad ek naya page khulega aur yahan aapko 'Account Operating Instructions' yaani Khaata Sanchaalan Nirdeshon ke baare me batana hoga. To aapko sabhi details acche se fill karni hongi
Sabse pehle aapko 1 mein aapko Operation Instruction batana hai, yaani ki aap kaisa Account chahte hain Single ya Joint. To aapko jaisa Account chahiye wo select kar lijiyega.
2 mein aapko Product Variant choose karna hai, matlab ki aap kis tarah ka Savings Account chahte hain, ismein kai saare vikalp moujood honge jaise ki Digisave Youth, Regular Savings Account, SavingsMax Account, Senior Citizens Account etc. to aapko jis tarah ka Savings Account kholna ho usko choose kar lijiye.
3 mein aapko apna State select karna hai.
4 mein aapko batana hai ki kya aap apne Account ke liye Nominee rakhna chahte hain. To agar aap ko Nominee rakhna hai to 'Yes' select kariye aur nahi to 'No' select kar lijiye.
5 mein aapko apna Pura Naam dena hoga.
6 mein aapko apni City select karni hogi.
7 mein aapko aapka Mobile Number show hoga, jo Mobile Number aapne pehle use kiya tha, aap chaahen to isko badal bhi sakte hain. Lekin agar Number wahi rakhna chahen to yahan aapko kuch nahi karna hoga.
8 mein aapko HDFC Bank ki branch chunni hogi, to aapko jo branch pasand ho usko select kar lijiye.
9 mein aapko jo code dikhaya jaayega box ke side mein wahi code is box mein enter karna hoga
Sab kuch acche se bhar lene ke baad 'Continue' par click karna hoga.





Step 4'Continue' par click karne ke baad aap se aapki Personal Details maangi jayengi. To yahan aapko apni Personal Details fill karni hai.
1 mein aapko Title choose karna hoga, jaise Mr., Ms., Mrs.
2 mein aapka Mobile Number dikhaya jayega, yahan aapko kuch nahi karna hai, lekin agar aap Number badalna chahen to badal sakte hain.
3 mein aapko apna Email ID dena hoga, isliye aapke paas ek Email ID hona zaroori hai.
4 mein aapko apna Gender select karna hai ki aap Male hain, Female hain ya Other hain.
5 mein agar aapko E Statement chahiye to yahan aapko tick lagana hoga.
6 mein aapka Full Name fill karna hai.
7 mein aapko apna Office ka Mobile Number fill karna hai.
8 mein aapko apna Aadhar Card No. dena hai, lekin yeh coulmn zaroori nahi hai, agar aap chahen to isko fill kar sakte hain aur chahen to chhod sakte hain.
9 mein aap se pucha jaa raha hai ki Kya Aapke Paas PAN Card Hai? to agar aapke paas PAN Card hai to 'Yes' select kariye aur nahi hai to 'No' select kariye. PAN Card na hone par aapko form 6061 fill karna padega.
10 mein agar aapko Insta Alerts ke liye Register karna hai to tick lagana hoga. Insta Alerts se aapke account se hone wale har transaction par aapko SMS dwara alert kiya jayega.
11 mein aapko aapki maa ka upnaam dena hoga, yaani ki shaadi se pehle ka naam dena hoga.
12 mein aapko Residence (Nivaas Asthaan)  Mobile Number dena hoga.
13 mein aapko apna Date of Birth dena hoga.





Step 5: 'Personal Details' fill karne ke baad aapko Mailing Address (Daak Pata) Details aur Permanent Address (Asthayi Pata) Details fill karna hoga.

1 mein aapko apne pate ki pehli line (Address line 1) likhna hoga.
2 mein aapko apne pate ki doosri line (Adress line 2) likhna hoga, yaad rahe ki isko aap khaali nahi chhod sakte hain, kyunki yeh fill karna zaroori hai.
3 mein aapko ek landmark dena hai. Landmark kisi mishaan ko kahte hain, jisse ki kisi address ki pahchaan hoti hai. Yahan maine aise Uttar Pradesh apna Landmark rakha hai.
4 mein aapko (Nivaas ka Prakaar) Residence Type batana hai, ki jis ghar mein aap rahte hain woh aapke khud ka hai, ya aapke mata pita ya bhai-bahno ka hai, ya company dwara mila hai, ya rent ka hai, ya hostel hai. To yahan aapko apne anusaar Residence Type ko select karna hoga.
5 mein aapko apne State ka naam dena hoga.
6 mein aapko apne city ka naam dena hai.
7 mein aapko PIN Code/Postal Code dena hai.
Mailing Adress Details ko fill karne ke baad, Permanent Address Details ko fill karna hota hai.
Lekin agar aapka Mailing Address aur Permanent Address ek hi hai to yahan aapko ek vikalp milta hai, 'Permanent address same as mailing address' iska matlab hota hai ki Permanent Address aur Mailing Address ek hi hain. To agar aapka Permanent Address aur Mailing Address ek hi hai to aap 'Permanent address same as mailing address' par tick laga dijiye jisse aapko Permanent Address Details ko fill karne ki zaroorat nahi padegi. Lekin agar aapka Mailing Address aapke Permanent Address se alag hai to phir aapko Permanent Address Details ko fill karne ki zaroorat padegi.
2 mein apne pate ki pehli line (Address line 1) likhni hota hai.
Uske baad 3 mein apne pate ki doosri line (Address line 2) likhni hoti hai.
4 mein aapko landmark batana hoga, halanki yeh is coulmn ko fill karna zaroori nahi hai.
5 mein aapko apne State ka naam likhna hoga.
6 mein aapko apne city ka naam likhna hoga.
7 mein aapko apna Postal/PIN Code fill karna hoga.




Permanent Address Details ko fill karne ke baad, aapko Occupation Details (Vyavsaay Vivaran) ko fill karna hoga
To sabse pehle 1 mein aapko 'Occupation Type' ko select karna hoga, yaani ki aap jis prakaar ka vyavsaay karte hain wo aapko ismein select karna hoga.
2 mein aapko 'Source of Funds' ko select karna hoga, yaani ki kaise aapke paas dhan aate hain woh batana hoga. To jis maadhyam se aapke paas paise aate hain woh ismein aapko chunna hai.
3 mein aapko 'Gross Annual Income' batani hogi, yaani ki aapki saalana kul kamai kitni hai wo aapko batana hai. Ismein kai saare option milte hain, to aap apne anusaar option ismein se select kar sakte hain. Jitni aapki saalana kul kamai hogi usi ke hisaab se vikalp ko chunna hoga.
4 mein aap se poocha jaa raha hai ki Kya Aapko Debit Card Chahiye? to agar aapko Debit Card chahiye to aapko 'Yes' select karna hoga aur nahi chahiye to 'No' select kar lijiye.
Uske baad agar aap chaahen to apne Documents ko upload kar sakte hain, waise yeh vaikalpik hai to agar aap chaahen to isko chhod bhi sakte hain.
Lekin agar aap bharna chahenge to aapko yahan ek 'Address Proof' upload karna hoga aur ek 'Identity Proof' upload karna hoga. Address Proof aur Identity Proof mein aapko kai saare vikalp milenge to jo document aapke paas ho ya jo accha lage aap usko yahan par upload kar sakte hain.
To agar aap chaahen to Documents upload kar den aur uske baad 'Continue' par click karen. Aur agar Documents upload nahi karne hain to usko chhod den aur 'Continue' par click karen.




Step 6:  'Continue' par click karne ke baad ek naya page khulega aur yahan aap se aapke Nominee ki Details maangi jaayegi aur uske baad Nominee ke Address ki details bhi fill karni hogi
To sabse pehle 1 mein aapko Title select karna hoga, jaise Mr, Ms, Mrs etc
Uske baad 2 mein Nominee ka naam likhna hoga.
3 mein STD Code ke saath Residence (Nivaaas) Mobile Number daalna hoga.
4 mein Nominee ki age bataani hogi.
5 mein Nominee Relationship bataani hogi, yaani ki Nominee ke sath aapka kya rishta hai yeh batana hoga. Uske liye yahan par aapko kai saare option milenge jaise Father, Mother, Brother etc. to Nominee ke sath aapka jo rishta ho woh aap yahan se select karna hoga.
Ab aapko Nominee ke Address ki details deni hogi. To sabse pehle 6 mein aapko Nominee ke Address (Pate) ki pehlei line (Address line 1) likhni hogi.
Uske baad 7 mein Nominee ke Address (pate) ki doosri line (Address line 2) likhni hogi. 
8 mein Landmark batana hoga, lekin yeh zaroori nahi hai isliye agar aap chaahen to isko fill karen ya chhod den.
9 mein aapko Nominee ke Postal/PIN Code ko fill karna hoga.
10 mein Nominee ke State ka naam daalna hoga.
11 mein Nominee ke City ka naam daalna hoga.
Uske baad aap se Consent (Sahmati) maangi jaayegi ki Bank ke agents Marketing ke uddeshya se aapko Information/Service ke liye SMS, Email ya Call karenge, to kya aap aise SMS, Email ya Calls ko recieve karna chaahenge? To agar aapko is tarah ke SMS, Emails aur Calls ko recieve karna hai to 'I/We Consent' par tick laga dijiye aur agar aap sahmat nahi hain to 'do not consent' par tick laga dijiye jisse ki aapko aise SMS, Calls aur Emails nahi aayenge.



Uske baad aapko 'Terms & Conditions' ko agree (svikaar) karna hoga, aur sath mein aapke dwara di gai  sabhi jaankariyan sach aur sahi hain yeh bhi agree (svikaar) karna hoga. To agree karne ke liye bas aapko check mark ✓ lagana hai. 
Uske baad aapko finally apne 'Account Opening Form' ko submit karna hoga, aur submit karne ke liye aapko bas 'Submit' Button par click karna hoga. Aur aapka application bank mein submit ho jaayega. Agar aap chaahen to apne form ko aap 'Preview' karke dekh bhi sakte hain ki kya aapke dwara bhari gai jaankari theek-theek hain ya nahi to agar aapko koi gadbadi nazar aaye to aap usko theek bhi kar sakte hain. Lekin Submit karne ke baad aap usko theek nahi kar paayenge. Isliye hum to salaah denge ki form ko Submit karne se pehle ek baar zaroor 'Preview' karke check kar len.



HDFC Bank mein online Savings Account ka application submit baad aapko ek Application Number bhi diya jaata hai. Aur is Application Number se aap apne application ke status ko track kar sakte hain.




To agar aap HDFC Bank mein Savings Account kholna chaahte hain, to aap is tarah se Oline Savings Account ke liye apply kar sakte hain. Aur aapko iske liye bank branch jaane ki bhi zaroorat nahi padegi, ghar baithe hi aap HDFC Bank mein apna Savings Account khol lenge. Agar aap kisi bade shahar mein hain to aapke application ke jaldi approve (Manzoor) hone ke adhik chances hain. Aur yeh bhi ho sakta hai ki agar aap kisi gramin (Village or Remote Are) mein hain to aapka application reject bhi ho sakta hai, kyunki aise area ke liye HDFC Bank ke paas pratinidhi moujood hi nahi hote hain. Aur jab bank ke pratinidhi hi aap tak nahi pahuch paayenge to Account ke liye verification kaise hoga? aur bina verfication ke Khaata khul bhi nahi sakta hai, isliye ho sakta hai ki gramin area walon ke application bank dwara reject kar diye jaayen.
Baharhaal humen aapko HDFC Bank mein Online Account Kholne ki jaankari deni thi, to woh jaankari humne aapko de di hai. Hum ummid karte hain ki aapko humaare dwara di gai jaankari pasand aayi hogi, aur HDFC Bank mein online khaata kholne mein aapko madad karegi.