Internet ke zamane mein ab kaun bank branch ya ATM pe jaana chahega, har koi yahi chahta hai ki uske banking ka kaam sab ghar baithe hi online hojaye. Aur ek lehaz se yeh baat sahi bhi hai, jitna aaj ke time mein Digital India ko badhawa diya jaa raha hai, agar isse koi kaam hi na ho to faida kya hoga Digital hone ka? Pehle jab humen Debit/ATM Card bank dwara issue kiye jaate the to uske saath Debit/ATM Card ka PIN bhi hota tha, lekin aaj ke time mein humen PIN sath mein nahi milta hai. Aur iske kaaran hum thoda pareshan ho jaate hain ki agar PIN nahi mila hai to ab hum PIN kaise generate karenge? PIN generate karne ke liye humen kahan jaana hoga? PIN generate karne ke liye humaare paas kya-kya cheezen honi chahiye? is tarah ke kai sawaal humaare dimagh mein aate hain.
Khair bank ab Debit/ATM Card ke sath PIN isliye nahi dete taaki jo fraud ke maamle ho rhe hain unko kam kiya jaa sake. To isliye ab humen khud hi apne Debit/ATM Card ke liye PIN generate karna hoga.

Yeh Bhi Padhen:

Debit/ATM Card ka PIN generate karna koi bahut mushkil kaam nahi hai. Agar aap Mobile Banking ya Internet Banking ka istemaal karte hain to aap bahut aasani se apne Debit/ATM Card ka PIN ghar baithe hi generate kar sakte hain.
Is article mein hum aapko batane wale hain ki agar aapke paas Axis Bank ka Debit/ATM Card hai to aap uska PIN online kaise generate kar sakte hain bina ATM par gaye.
Jaisa ki humne pehle hi bata diya hai ki Debit/ATM Card ke PIN ko generate karne ke liye humaare paas Internet Banking seva honi chahiye ya Mobile Banking seva honi chahiye.
Aur is article mein hum Axis Bank ke Mobile Banking app 'Axis Mobile' ka istemaal karke Axis Bank ke Debit/ATM Card PIN ko Generate karna sikhayenge.

To sabse pehle aap Axis Bank ki mobile banking sevaon ke liye registration kar lijiye, yeh bahut hi aasan hai, agar aapka mobile number aapke bank account se linked hai to aap bahut hi aasani se Axis Bank ke Mobile Banking ko register aur activate kar sakte hain
Mobile Banking sevaon ko activate kar lene ke baad aap ghar baithe hi apne Debit/ATM Card ke PIN ko generate kar sakte hain.
 Axis Bank ke Debit/ATM Card ka PIN Axis Mobile app dwara generate karne ya set karne ke liye aap in steps ko follow karen.

Step 1: Sabse pehle aap 'Axis Mobile' app ko open kariye aur ismein login ho jaiye.


Login hone ke liye yahan aapko apna MPIN daalna hoga, aur MPIN daalte hi aap Axis Mobile app mein login ho jayenge.



Step 2: Login hone ke baad aapko kuch is tarah ka interface nazar aayega, aur aapko yahan 'Services' ka option dikhai dega to aapko bas is par click karna hai.





Step 3: 'Services'  par click karne par ek naya page khulega, yahan aapko 'Debit Cards' ka option nazar aayega to aapko isi par click karna hoga.



Step 4: 'Debit Cards'  par click karne ke baad ek naya page open hoga, yahan aapko 'Set/Reset PIN' ka option dikhai dega aur aapko isi par click karna hoga.



Step 5: 'Set/Reset PIN'  par click karne ke baad phir se ek naya page open hoga aur yahan aapko apna Debit Card select karna hoga. Jis Debit Card ka PIN aapko generate karna hai woh Debit Card aap yahan se select kar lijiye, uske baad 'SET PIN' par click kijiye.



Step 6: 'SET PIN'  par click karne par phir ek naya page khulega, aur yahan aapko apna 4 Digit ka PIN dalna hoga. To yahan aap apni marzi se apne Debit/ATM Card ka jo PIN set karna chahte hain woh fill kar dijiye, aur uske baad 'CONTINUE' par click kijiye. Yahin aapko apne Debit Card ka PIN banana hai aur PIN banane ke baad aapko 'CONTINUE' par click karna hai. Iske baad wahi aapke Debit Card ka PIN hoga.






Step 7: 'CONTINUE' par click karne ke baad aap se aapka 'mPIN' manga jayega, to yahan par aapko apna 'mPIN' dena hoga.



'mPINdalne ke baad aapko bata diya jaayega ki aapke Debit Card ka PIN successfully set kar diya gya hai, ho sakta hai iske baad aapko aapke mobile par ek SMS bhi bheja jaye aur usmein bhi yahi message hoga ki aapke Debit Card ka PIN successfully set ho gya hai.



To is tarah se Axis Bank ke Debit Card ka PIN online generate kiya jaata hai, iske liye bas aapke paas mobile banking seva uplabdh honi chahiye aur aap Axis Mobile app ka istemaal karke aasani se ghar baithe hi Axis Bank ke Debit Card ka PIN generate kar sakte hain.