Agar aap Kotak Mahindra Bank ke grahak hain aur Kotak Mahindra Bank mein aapka account hai aur aapko Cheque Book ki zaroorat hai to is post mein hum aapko batayenge ki aap ghar baithe Kotak Mahindra Bank ke Cheque Book ke liye online request kaise kar sakte hain.
Cheque Book ki zaroorat humen kabhi na kabhi pad hi jaati hai kyunki cash ki kami ke chalte bahut baar humen Cheque dwara payment karna padta hai, ya kabhi-kabhi amount itna bada hota hai ki cash dwara payment mumkin hi nahi hota hai tab bhi humen Cheque se hi payment karna padta hai. Kul milaakar Cheque Book hona bahut zaroori hai, aur Cheque Book na hone se humen bahut si samasyaayen aa sakti hain isliy humen Cheque Book rakhna hi chahiye.
Is post mein hum jaanenge ki hum Kotak Mahindra Bank ki Cheque Book online kaise order karen.
Aap logon mein bahut se aise log honge jinko Kotak Mahindra Bank ke Digital Savings Account Kotak 811 ke baare mein zaroor pata hoga. Lekin jin logon ko nahi pata to un logon ko hum bata den ki Kotak 811 Account, Kotak Mahindra Bank dwara provide kiya jaa raha ek Digital Savings Account hai.
Kotak 811 Account ek Zero Balance Account hai jismein aapko minimum balance maintain karne ki zaroorat nahi hoti hai ya jisko hum Monthly Average Balance bhi kahte hain, to is Account mein aapko Monthly Average Balance maintain karne ki zaroorat nahi hoti hai.
Jaisa ki humne aap logon ko bataya hai ki Kotak 811 Account ek Digital Savings Account hai iska matlab yeh Account online ghar baithkar hi open kiya jaa sakta hai. Yeh Account hum eKYC ki madad se open karte hain aur iske liye hum apne Aadhar Card ka istemaal karte hain, is Account ko open karne ke liye humen Kotak Mahindra Bank ki branch mein visit nahi karna padta hai.
Kotak 811 Account mein 3 category ke accounts hain: Kotak 811 Lite, Kotak 811 Limited KYC, Kotak 811 Full KYC.
Kotak 811 Full KYC Account mein Bank representative aapke ghar aakar aapka biometric verification karta hai jisse aapka Kotak 811 Account Full KYC Account mein badal jaata hai.
Aapko bata den ki agar aapne Kotak 811 Full KYC Account open kara rakha hai to aap bhi online Cheque Book ke liye request kar sakte hain.
Kotak 811 Lite aur Kotak 811 Limited KYC Account mein Cheque Book suvidha nahi di jaati hai keval Kotak 811 Full KYC Account mein hi Cheque Book yeh suvidha milti hai.
To agar aapke paas Kotak 811 Full KYC Account hai to aap bhi Kotak Mahindra Bank ka Cheque Book online order kar sakte hain.
Is post mein hum aapko yahi batayenge ki agar aapke paas Kotak 811 Full KYC Account hai to aap online Cheque Book ke liye kaise request kar sakte hain.
To agar aap Kotak Mahindra Bank ki Cheque Book ke liye online request karna chahte hain to aap in steps ko follow kariye.

   Step 1:   Sabse pehle aapko Kotak Mahindra Bank ke Mobile Banking app "Kotak 811" ko open karna hoga aur uske baad aapko apna MPIN daalkar login hona padega.

Login hone ke baad aapko neeche "Service Request" ka option milega to aapko isi option par tap karna hoga.



  Step 2:   "Service Request" par tap karne ke baad aapko "Cheque Request" ka option mil jayega to aapko isi option par tap karna hoga.
"Service Request" par click karne ke baad aapko "Cheque Book" par tap karna hoga. Cheque Book par tap karne ke baad aapko Number of Leaves select karna hoga matlab aapko jitne leaves (panne) ki Cheque Book chahiye wo select karna hoga. Number of leaves select karne ke liye yahan do tarah ke number diye gaye hain 25 aur 50 to aapko in donon number mein se jo chahiye select kar sakte hain.




  Step 3:   Cheque Book Leaves Number select karne ke baad aapko "Request Cheque Book" par tap karna hoga. Uske baad aapko kuch details show hongi jaise Name, Account Number aur Number of Leaves to yeh aap ek bar aap check kar sakte hain agar koi galti hui ho to usko theek kar sakte hain aur agar sab kuch sahi raha to aapko "Confirm Request" par tap kar dena hoga.




Iske baad aapki Cheque Book ki request successfully submit ho jayegi aur aapko ek Reference Number bhi mil jayega. Iske alawa aapko yeh bhi bata diya jayega ki aapki Cheque Book aapke correspondence address par 8 working days mein bhej di jayegi.



To is tarah se hum Kotak 811 Account ke liye online Cheque Book request karte hain aur ghar hi humen humari Cheque Book mil jaati hai.