Debit/ATM Card apply
Agar
SBI
Agar
Is Article mein hum SBI ke Debit Card ko online apply karne ke liye YONO SBI app ka istemaal karenge . Agar aapko YONO SBI app ke baare mein nahi pata hai to hum aapko batana chahenge ki YONO SBI, State Bank of India ke zariye banaya gya ek Mobile Banking app hai .
YONO SBI app ka upyog karne ke liye pehle YONO SBI app ke liye register karna padta hai . Agar aapko nahi pata hai ki YONO SBI app ke liye registration kaise kiya jaata hai to aap humara yeh article padh sakte hain .
Agar aap State Bank of India ke Debit Card ke liye online request karna chahte hain to aapko in simple steps ko follow karna hoga . Hum aapko bata dena chahte hain SBI ke Debit Card ko online apply karne ke liye hum YONO SBI app ka istemaal karenge , to sabse pehle aapko YONO SBI app ke liye register karna hoga . Jab aap YONO SBI app ke liye registered ho jayenge to aap is app ka istemaal kar payenge . To sabse pehle aap YONO SBI app ko register karke activate kar lijiye , uske baad aap in steps ko follow kariye .
Step 1: Sabse pehle aap YONO SBI app ko apne mobile phone mein open kariye . Open karne ke baad aapko YONO SBI mein login karna hoga , login karne ke liye aap apne MPIN ka istemaal kar sakte hain ya phir apne Internet Banking ka User ID aur Password ka bhi istemaal karke YONO SBI mein login kar sakte hain .
Step 2: Login hone ke baad 'Quick Links' mein ek option nazar aayega 'Service Requests' ka, is option par aapko click karna hoga .
Step 3: 'Service Requests' par click karne ke baad ek naya page open hoga , jiska interface kuch is tarah ka hoga , aap isko neeche picture mein dekh sakte hain . yahan aapko kai options nazar aayenge jismein 'ATM/Debit Card' ka bhi option hoga . Aapko 'ATM/Debit Card' par click karna hoga .
Step 4: 'ATM/Debit Card' par click karne ke baad aap se aapke Internet Banking ka profile password poocha jayega . Is column mein aapko apne Internet Banking ka profile password fill karna hoga , aur Internet Banking ka profile password dene ke baad aapko 'Submit' par click karna hoga .
Step 5: 'Submit' par click karne ke baad phir se ek naya page open hoga . Yahan par bhi aapko kai saare options dekhne ko milenge , lekin aapko 'Request New/Replacement' par click karna hoga .
Step 6: 'Request New/Replacement' par click karne ke baad ek naya page open hoga . Yahan aapko sabse pehle apna account select karna hoga . Jaisa ki aap neeche picture mein dekh sakte hain ki sabse pehle 'Select Account' yaani ki account select karne ko kaha jaa raha hai . Uske baad aapko apne Debit/ATM Card par jo naam chahiye woh naam likhna hoga , jaisa ki aap picture mein dekh sakte hain 'Name on Card' ka column hai yahan aapko wahi naam dena hai jo aap apne Debit/ATM Card par chahte hain .
Iske baad aapko jaisa Card chahiye woh select kar lijiye. Yahan aapko 'Select The Type of Card' ka option dikhayi de raha hoga, jiska matlab hota hai ki aapko jis type (tarah) ka Card chahiye woh select kijiye.
Iske baad aapko jis address par apna Debit/ATM Card mangana hai woh address select karna hota hai. To yahan par address select karne ke do option hote hain 'Permanent' aur 'Correspondence', aapko jis address par Debit/ATM Card mangana ho ismein se woh select kar lijiye.
Address select karne ke baad aapko 'Terms and Conditions' ko agree karna hoga, aur 'Terms and Conditions' ko agree karne ke liye aapko bas ispar check mark lagana hoga. Aur check mark laga ke 'Next' par click karna hoga.
Step 7: 'Next' par click karne ke baad aapke bank account se registered mobile number par ek OTP bheja jayega. Jab aap 'Next' par click karte hain to aap se wahi OTP maanga jayega aur woh OTP yahan aapko daalkar 'Submit' par click karna hoga.
'Submit' par click karne ke baad aapke mobile screen par ek popup aayega jismein aapko bataya jayega ki 'hum aapke card ki request ko process karenge', sath hi aapko card request ka reference number bhi de diya jayega. Aapke mobile number par bhi yahi message SMS dwara bhej diya jayega.
To is tarah se State Bank of India ke Debit/ATM Card ke liye online request/apply karte hain. SBI ke Debit Card ke liye online request karne ke baad lagbhag 1-2 hafte ke beech mein aapko aapka Debit/ATM Card aapke address par speedpost dwara bhej diya jayega.
Yeh Bhi Padhen:
1 Comments
Thanks this post helped me a lot
ReplyDeletePost a Comment