Agar aapka khaata Union Bank of India mein hai to Union Bank ki SMS Banking seva se aap apne bank khaate ke transactions ki jaankariyan Mobile SMS dwara praapt kar sakte hain. Agar aapko pata nahi hai ki SMS Banking kya hoti hai to humne iske baare mein bhi ek article likh rakha hai aap usko padhkar SMS Banking ke baare mein jaan sakte hain. SMS Banking ke baare mein jaanne ke liye yahan click karen
SMS Banking Kya Hoti Hai, Aur SMS Banking ke Kya Faide Hain?
Union Bank of India ki SMS Banking aapko kai tarah ki suvidha deti hai. Union Bank of India ki SMS Banking se apne khaate ke transactions ki soochan turant apne mobile par paai jaa sakti hai. Union Bank of India ki SMS Banking se aap apne bank account par nazar banaye rakh sakte hain, jisse aap apne khaate ko fraud se bacha sakte hain, aur unauthorized access ka pata laga sakte hain. Union Bank of India ki SMS Banking ki madad se Mobile SMS bhejkar apne khaate ka balance jaan sakte hain aur apne khaate ka mini-statement apne mobile par paa sakte hain.
Union Bank of India ki SMS Banking ke Features:
Suraksha: SMS Banking se aapko apne account ke liye safety milti hai. Aapke account se hone wale sabhi transactions ki soochna aapko apne mobile phone par SMS dwara milti rahti hai. Jab-jab jitne transaction aake khaate se hote hain aapko SMS dwara soochit kiya jaata hai.
Sahooliyat: SMS Banking hone se aapne khaate ki jaankari paane ke liye aapko branch ya ATM nahi jaana padta hai.
Updates: SMS Banking hone se aapko updates milte rahte hain, jaise deposit, withdraw, interest rate charges aur naye products ke updates milte rahte hain.
Availability: ye seva aapko har jagah milti rahegi chaahe aap duniya bhar mein kahin par bhi hon.
Union Bank of India ki SMS Banking ke Liye Apply Kaise Karen?
Union Bank of India ki SMS Banking ki suvidha paane ke liye aapko Union Bank of India ki call center par call karni hogi, ya branch se contact karna hoga aur contact karte time aapka bank Account Number aur Debit Card aapke paas hona chahiye.
Union Bank of India ki SMS Banking ko Kaise Istemaal Kiya Jaata Hai?
ATM/Debit Card Sambandhit
REQUEST
KEYWORD and EXAMPLE
ATM /Debit Card ko Block Karne ke Liye Yeh SMS Karna Hoga
UBLOCK<space>Last four digit of debit card Number
(e.g. UBLOCK<space>1234 send to 09223008486 )
BANKING INFORMATION
Balance Enquiry ke Liye Yeh SMS Karna Hoga
Primary account balance : UBAL
(e.g. UBAL send to 09223008486)
Other account balance : UBAL<space>Account number
(e.g. UBAL<space>566802071234567 sentd to 09223008486)
Mini Statement Paane ke Liye Yeh SMS Karen
Primary account statement : UMNS
(e.g. UMNS send to 09223008486)
Other account statement : UMNS<space>Account number
(e.g. UMNS<space>566802071234567 send to 09223008486)
Cheque Status Dekhne ke Liye
Agar cheque Primary account se hai to:
UCSR<space>cheque number
(e.g. UCSR 51236985 send to 09223008486)
Agar cheque doosre account ka hai to:
UCSR <space> cheque number<space>Account number
(e.g. UCSR<space>51236985 566802071234567 send to 09223008486)
Nazdeeki Branch ka Pata Karne ke Liye
UBRANCH<space>PinCode<space>Location/city
(e.g. UBRANCH<space>400076<space>Powai send to 09223008486)
Nazdeeki ATM ka Pata Karne ke Liye
UATM<space>PinCode<space>Location/city
(e.g. UATM<space>400076<space>Powai send to 09223008486)
Aadhaar ID seeding using long code 09223008486
Aadhaar number seeding
UID<space>AccountNumber<space>Aadhaar Number
(e.g. UID<space>566802071234567<space>234567891234 sent to09223008486)
Missed Call Seva se Balance Jaane
Missed Call Service
Union Bank of India ke Grahak apne primary account ka balance is 09223008586 number par missed call dekar jaan sakte hain.
0 Comments
Post a Comment