Ab tak aapne Net Banking, Mobile Banking ke baare mein suna hoga lekin shayad hi aapne SMS Banking ke baare mein suna hoga. Is post mein hum aapko batayenge ki SMS Banking kya hoti hai aur SMS Banking se aapko kya faida milta hai.
SMS Banking Kya Hoti Hai?
SMS Banking Net Banking aur Mobile Banking ki tarah nahi hai. Net Banking aur Mobile Banking se aap transactions karte hain, jabki SMS Banking se transactions nahi kiya jaa sakta hai. SMS Banking se hum apne mobile phone par apne bank account ke transactions ki jaankari paa sakte hain. Sath hi hum SMS Banking se transactions ki details apne mobile phone par praapt kar sakte hain.
SMS Banking se hum apne bank account ke balance ki jaankari paa sakte hain. Har bank SMS Banking mein alag-alag facility deta hai.
SMS Banking Kaise Kaam Karti Hai?
SMS Banking ke liye aapke paas ek mobile phone hona chahiye aur aapka Mobile Number aapke bank account se link hona chahiye. Aur SMS bhejne ke liye aapke mobile mein balance hona chahiye.
SMS Banking ka istemaal aamtaur par apne account ke transactions ki detail jaanne ke liye kiya jaata hai, iske liye aapko bank dwara bataaye gaye Number par aapke bank account mein registered mobile number se ek khaas qism ka Code SMS ke zariye bhejna hota hai. Yeh Code bhi aapko bank dwara bataya jaayega ki kaunsa Code kiske liye istemaal hoga. Aap jaise hi us Number par apne registered mobile number se Code type karke bhejenge aapke mobile par ek SMS receive hoga, jismein aapko aapke dwara puchi gai jaankari milegi.
SMS Banking ke Kya Faide Hain?
SMS Banking se aap bhale hi Mobile Banking ki tarah transaction na kar paayen lekin phir bhi SMS Banking ke kai anya faide hain. Jaise ki ghar baithe aur bina branch gaye apne bank account ka balance jaan sakte hain woh bhi aapke mobile phone se.
SMS Banking se Transactions ki details apne mobile phone pe paa sakte hain.
Apne bank account ka mini-statement SMS Banking se apne mobile phone par praapt kar sakte hain.
SMS Banking se aap apne bank account mein unauthorized access ka pata laga sakte hain.
Alag-alag bank SMS Banking mein alag-alag suvidha dete hain, lekin jo humne aapko suvidhaayen batain hain ye aamtaur par sabhi bank dete hain.
SMS Banking mein aapko Internet Connection ki zaroorat nahi padti hai.
SMS Banking ka upyog kisi bhi mobile phone se kiya jaa sakta hai iske liye smartphone ka hona zaroori nahi hai.
SMS Banking ke Liye Kya-Kya Hona Zaroori Hai?
SMS Banking ke liye aapke paas ek bank account hona chahiye tabhi to aap apne account ki jaankari apne mobile phone pe praapt kar paayenge.
SMS Banking ke liye aapka Mobile Number aapke bank account mein registered hona chahiye.
SMS Banking ke liye aapke mobile mein balance hona chahiye, taaki aap apne bank khaate ki jaankari ke liye SMS kar saken.
0 Comments
Post a Comment