Affiliate Marketing Kya Hai - What is Affiliate MarketingAffiliate Marketing se Paise Kaise Kamaate Hain?


Aaj ka time Internet ka time hai, adhiktar log aaj ke samay mein Internet se kisi na kisi tarah se jude hue hain. Isliye aaj ke time mein bahut si aisi e-commerce websites hain jo online products sell kar rahi hain, inko hum 'shopping website' kahte hain. Yeh websites kai category ke alag-alag products online sell karti hain. In websites ka istemaal bhi aaj ke time mein log khoob kar rahen hain. Bahut se log online shopping (kharidari) karna pasand karte hain, isliye online business ka market badhta jaa raha hai. Bahut si aisi companies hain jo online products sell karti hain, aur log in products ki online kharidari karte hain.

Log aaj ke time jis tarah market jaa kar saaman ki kharidari hain waise hi log online bhi utpaadon ki kharidari karte hain. Online shopping logon ke liye bahut aasani paida kar deti hai, jisse log ghar baithe hi apne zaroorat aur pasand ke products khareed sakte hain, aur woh products aapke address par bhej diya jaata hai. Isse logon ko products khareedne ke kisi market mein jaane ki zaroorat nahi padegi. Online shopping se logon ko kaafi raahat pahuchti hai, isliye log online shopping karna pasand karte hain aur aajkal online shopping ka trend bhi badh raha hai. Aur jab koi vyakti in online shopping websites ya companies ka affiliate account banakar inke products ko kisi source se promote karte hain to isko affiliate marketing kaha jaata hai. Affiliate Marketing ko samajhna bahut hi aasan hai, jo log pehle se online marketing se jude hue hain unko pata hoga ki Affiliate Marketing kya hai aur yeh kis tarah se kaam karta hai aur isse kaise kamai hoti hai. Lekin jo log online marketing se naye jude hue hain ya jo log Online Income ke baare mein kam jaankari rakhte hain unko Affiliate Marketing ke baare mein zyada jaankari nahi hogi. Lekin hum is article mein aapko Affiliate Marketing se judi important aur basic jaankariyan denge jisse aap Affiliate Marketing ko sahi tareeqe se samajh sakte hain.  






Affiliate Marketing Kya Hai?


Jab koi vyakti kisi online source se kisi Shopping Website ya Company ke products ko promote karke unko bechta hai to usko Affiliate Marketing kaha jaata hai. Yeh online source koi sa bhi ho jahan products ko promote karke unko sell kiya jaa sakta hai. Affiliate Marketing ke liye aamtaur par Blog, Website, Social Media Page ya Group ya YouTube channel ka istemaal kiya jaata hai. Kyunki products ke promotion aur unki sell ke liye humen audience ki zaroorat hoti hai aur adhiktar audience aur visitors humen Blog, Website, Social Media Page aur Group ya YouTube channel se hi milte hain. Isliye Affiliate Marketing ke liye Blogs, Website, Social Media Pages, Groups aur YouTube channels sabse behtareen source (zariya) hain, jahan koi bhi Affiliates (Affiliate Program Join Karne Wala) Affiliate Marketing ke liye products ko promote karke sell kar sakta hai.

Affiliate Marketing ke liye sabse zaroori cheez hoti hai 'audience' jitne zyada log aapse jude hote hain utna zyada faida aapko Affiliate Marketing se hota hai. Affiliate Marketing ke liye audience ki sankhya bahut importance rakhti hai, agar aapke paas koi Facebook Page ya Group hai jisse bahut zyada log jude hue hain to aap wahan par kisi Company ke products ka promotion karke unko sell kar sakte hain, chunki us Page ya Group se bahut adhik log jude hue hain isliye product ke sell hone ki sambhaavna badh jaati hai leking agar yahi aapke Facebook Page ya Group se bahut kam log jude hue hain to product ke sell hone ki sambhaavna bahut kam rah jaati hai. Keval Facebook ke page ya group ke zariye hi aap products ko promote aur sell nahi kar sakte hain, balki aap kisi bhi Social Media Platform ke zariye products ka promotion aur unko sell kar sakte hain. Iske alaawa agar kisi ke paas blog ya website hoto wahan par bhi aap products ko promote aur sell kar sakte hain. Aur aaj ke time mein to sabse zyada YouTube channel ke zariye products ko promote aur sell kiya jaa raha hai, iske liye YouTube Creators apne channel ke description mein Affiliate Links ka istemaal karte hain. Lekin kisi Company ke products ko promote karne aur unko sell karaane se humaara kya faida hoga?
To iska bada aasan sa jawaab hai jab aap Affiliate Program join karke kisi Copmpany ke products ko promote karte hain aur koi vyakti un products ko khareedta hai to aapko un products ki sell price aur uski category ke aadhar par kuch percent ka commission diya jaata hai.
Affiliate word ka meaning bhi yahi hai ki joint hona milkar kuch karna, Affiliate Marketing ke asli meaning yahi hoga ki milkar bikri karna. Affiliate Marketing mein hota bhi aise hi hai aap ismein kisi doosri company se milkar unke products ya services ko sell karwaate hain, jiske badle wo company aapko commission deti hai.



Affiliate Marketing Kaise Kaam Karti Hai?


Agar aapko Affiliate Marketing karni hai to sabse pehle aapko Affiliate Program join karna hota hai. Internet par bahut saari Companies hain jo apne products aur services ki sale (bikri) ko badhaane ke liye doosre logon se apne products aur services ko promote karwaati hain. Aur jab koi vyakti in companies ke products ya services ko promote karta hai aur doosre log us vyakti ke zariye un companies ke products ya unki services ko khareedte hain to Company promote karne wale ko products ki sell price aur uski category ke aadhar par kuch percent commission deti hai. Isi tarah Company apni services ke sell hone par bhi uski sell price ke aadhar par kuch percent commission deti hai.
Affiliate Marketing start karne ke liye humen kisi company ya website ke Affiliate Program ko join karna padta hai.
Join hone ke liye humen us company ki website par Affiliate ki ID banaani hogi ya yeh samajhiye ki Affiliate Marketing ke liye humen pehle register karna. Jab aap Affiliate Marketing ke liye register ho jaate hain yaani ki jab aap Affiliate Program ko join kar lete hain to uske baad aap us company ke products ya services ko promote karke ke sell karwa sakte hain, jiska aapko kuch percent commission milega. Aur is commission se aap acchi khaasi kamai kar sakte hain. Yeh commission products ya services ki category aur uske sell price par depend karta hai, kuch aisi categories hoti hain jinmein aapko commission zyada percent mein diya jaata hai agar aap us category ke products ko promote karke ke sell karwate hain to.
Affiliate Program join kar lene ke baad products ya services ko promote karke sell karwane ke liye aapko ek aise platform ki zaroorat hoti hai, jahan aap in products ya services ko promote kar saken taaki zyada se zyada inki sell ho aur aap zyada se zyada kamai kar sakte hain.
Promote karne ke kai tareeqe hain aur aapko jo tareeqa aasan lagta ho aap usko chun sakte hain. Bas aapko ek aisa platform chahiye jahan aap se adhik sankhya mein log jude hon. Kyunki agar aap products ya services ko aise platform pe promote karte hain jahan audience hai hi nahi to promote karne ka koi faida hi nahi hoga. Kyunki products ko promote karne ka humara asal maqsad usko sell karwana hai, jisse humen commission milega. To iske liye aap aise platform par products ko promote karen jahan badi sankhya mein audience hon.  



Kin-Kin Platform Par Affiliate Marketing ke Liye Products ko Promote Kar Sakte Hain?

Agar aap Affiliate Marketing ke liye kisi company ke products ya services ko promote karke unko sell karwana chaahte hain to yeh platforms aapke liye sabse acche saabit honge.

Social Media: Aagar aap social media sites jaise Facebook, Twitter Instagram ityadi ka istemaal karte hain aur aapke paas social media ka page ya group ho to aap wahan par Affiliate Marketing ke liye kisi company ke products ya services ko promote karke unka sell karwa ke. Affiliate Marketing ke liye aap WhatsApp groups ka bhi istemaal kar sakte hain, aur WhatsApp groups ke zariye aap products aur services ko promote karke sell karwa sakte hain.


YouTube: Haalanki YouTube bhi khud social media sites mein hi aata hai, lekin isko yahan social media sites se alag isliye rakha gya hai kyunki aap apna YouTube channel banaakar uspar products ke review bhi kar sakte hain, jisko log doosre social media sites se dekhna pasand karte hain. To agar aapke paas YouTube channel hai to aap apne videos ke description mein Affiliate Links daalkar products ko sell kar sakte hain.



Blog, Website: Affiliate Marketing karne ke liye Blog ya Website bhi behtreen option hai. Agar kisi ke paas ek blog hai jismein accha traffic aata hai yaani ki us blog par bahut zyada log visit karte hain to us blog ya website par Affiliate Marketing ke ads laga sakte hain. Yeh ads asal mein kisi product ya service ko promote karne ke liye hi lagaaye jaate hain, aur jab koi visitor us ad par click karke product ya service ko purchase karta hai to isse Affiliates (Affiliate Program Join Karne Wala) ko commission milta hai.



Affiliate Marketing ke Liye Products ya Services ko Kitni Tarah se Promote Kiya Jaa Sakta Hai?


Agar aapne Affiliate Program ko join kiya hai to aap Affiliate Marketing karne ke liye products ya services ko 2 tareeqe se promote kar sakte hain.

Affiliate Link: Aap chaahen to products ko promote karne ke liye products ke affiliate links bana sakte hain. Is link ko aap chahen to apne social media page ya group ya apne blog par daal sakte hain. Aur jo bhi is link ke zariye product ko purchase karega uska commission aapko diya jayega. Aaj kal bade-bade YouTubers apne videos ke description mein affiliate links ka istemaal karte hain, aur is link se bahut se log products ko khareedte bhi hain, jisse un YouTubers ko accha-khaasa commission mil jaata hai.

Affiliate Ads: Affiliate Ads ko blog ya website par lagaya jaata hai. Jinke paas blog ya website hai aur uspar accha traffic aata hai to woh apne blog ya website par Affiliate Ads lagaakar Affiliate Marketing kar sakte hain, jisse woh products ko sell karwa sakte hain. Jab ko visitor us ad par click karke product khareedega to uska commission Affiliates ko diya jaayega. Aaj ke time mein bahut si aise website owner hain jinhone apni website par Affiliate Ads laga rakhe hain aur usse kamai karte hain. Affiliate Ads mein zyadatar banner ads dekhne ko milte hain, haalanki yeh Company par depend karta hai ki woh kis tarah ke ads provide karti hai.


Affiliate Marketing se Kamai Kaise Hoti Hai?


Bahut si aisi e-commerce websites aur companies hain jo apne products ya services ki sale ko badhaana chaahti hain, aur sale badhaane ke liye unko apne products ya services ko promote karne ki zaroorat padti hai. Isliye unhone Affiliate Program banaya jisse log judkar inke products ya inki services ko sell karwane ke liye promote karte hain aur isi ko Affiliate Marketing kahte hain, iske badle yeh companies product sell karaane wale ko product ke sell price aur product ki category ke aadhar par kuch percent commission deti hai, aur isi commission se Affiliate Marketing karne wale ki kamai hoti hai.
Aaj ke time mein bahut saari companies hain jo Affiliate Program offer karti hain. Jab aap kisi company ya kisi e-commerce website ke Affiliate Program ko join karte hain to aapko Affiliate Marketing karne ke liye us company ya e-commerce website ke products ya services ko promote karke sell karaana hota hai. Aur products ya services ko sell karaane ke liye aapko aise platform ko chunna padta hai jahan acchi sankhya mein audience hon. 
Aur products ya services ko promote karne aur unko sell karwaane ke liye sabse accha source hota hai apna ek blog, website jahan par aap Affiliate Marketing ke liye products ya services ke ads laga sakte hain, jisse visitors un ads par click karenge aur product ya service ko khareedenge jiska kuch percent ka commission aapko diya jaayega. Iske alaawa aap Affiliate Marketing karne ke liye products ya services ko social media page ya groups mein bhi promote karke sell karwa sakte hain. Iske alaawa YouTube ki videos ke description mein Affiliate Link ka istemaal kar sakte hain.
Jab koi Affiliate Program join karke Affiliate Marketing start karta hai aur products ya services ko promote karne ke liye Affiliate Links ya Ads ka istemaal apne blog, website, social media page or group, YouTube channel videos mein karta hai, aur jab koi us Affiliate Links ya Ads par click karke product ya service ko khareedta hai to Affiliate Marketing karne wale ko uska commission milta hai. Yeh commission kitne percent hoga aur kitna hoga yeh product ki qeemat aur uski category par nirbhar karta hai. Ek company ke paas kai tarah ke aur kai category ke products ho sakte hain aur company har category ke product ke liye alag-alag commission rate rakhti hai. Commission percent ke hisaab se diya jaata hai to yeh bhi dekhna hoga ki product kitna mahenga hai jitna zyada mahenga hoga utne zyada commission mein paise milenge. Affiliate Marketing commission based hai jitne adhik products bikenge aur jitne mahenge products bikenge utna  zyada commission milne par faida hoga. To kuch is tarah se kamai hoti hai Affiliate Marketing se jahan aap doosri companies ke product ko kisi source ki madad se promote karte ho aur unko bikwaate ho, jiski commission aapko company ki taraf se milti hai, aur yeh commission percent mein hoti hai.

Internet par aapko dheron Affiliate Networks mil jaayenge lekin is time sabse popular maane jaane wale Affiliate Networks yeh hain:

  • Amazon Associates
  • Flipkart Affiliate
  • eBay Affiliate
  • ShopClues Affiliate
  • vCommission
  • BIGROCK Affiliate
  • DGM India
  • Komli
  • MakeMyTrip Affiliate
  • GoDaddy Affiliate
  • Nearbuy Affiliate
  • Admitad
  • HostGator Affiliate
  • PayOOm
  • Tata Cliq Affiliate
  • Jabong Affiliate
  • Big Rock Affiliate
  • Agoda Affiliate
  • ResellerClub
Aap chaahen to inmein se kisi ke Affiliate Program ko join karke Affiliate Marketing kar sakte hain, aur aapko inke products ya services ko sell karwaane par accha commission milega, jisse aap maheene mein acchi kamai kar sakte hain.