URL shortner kya hota hai?URL shortner kaise kaam karta hai?
URL shortner kya hota hai?
Kuch aisi websites hoti hain jo URL Link ko short kar deti hain aur unhi ko URL shortner kaha jaata hai.
Shortner ka meaning hi short karna ya chota karna hota hai, aur ye websites URL Links ko chota kar deti hain isliye inko URL shortner kaha jaata hai.
Kabhi-kabhi hum kisi website ka link kisi ko share karte hain to hum dekhte hain ki uska link bahut bada hota hai jo kahin-kahin share karne me accha nahi lagta hai, isliye hum us link ko chota karne ke liye Link shortner ki madad lete hain.
Link shortner ka kaam yeh hota hai ki yeh bade URL Links ko chota kar dete hain jo dikhne me acche lagte hain.
example.1 |
example.2 |
example.3 |
Internet par bahut si aisi websites hain jo URL Links ko short karti hain, inme kuch popular websites hain jo zyada istemaal ki jaati hain, aur un popular URL shortner websites me yeh websites aati hain.
- AdF.ly
- Ouo.io
- Shink.in
- Linkshrink.net
- Bc.vc
- Shorte.st
- LinkBucks.com
- Al.ly
- Admy.link
- L2S.Pet
- MiniURL.io
- Shortzon.com
- Clicksfly.com
- Uiz.io
- BITL.cc
- Linkshrink.net
- Dwindly.com
- Oke.io
- Al.ly
Agar aap chahen to in URL shortner websites par apna account banaakar URL Link ko short kar sakte hain aur usse paise kama sakte hain.
URL shortner Kaise Kaam Karta Hai?
URL Link ko short karne ke liye aur usse paise kamaane ke liye sabse pehle aapko kisi URL shortner website par apna account banaana padega. Account ban jaane ke baad aapko kisi bhi URL Link ko short karne ka option milega jaisa ki humne aapko dikhaya hai. URL Link ko short karne ke liye aapko ek URL Link ka box milega jisme aapko apna URL link daalna hoga jisko aap short karna chahte hain. Uske baad aap shorten par click karke link ko short kar sakte hain. Jab aap link ko short karenge to aapka main URL Link badalkar chota ho jaayega.
Asal me yeh URL shortner websites URL link ko chota nahi karti hain, balki uski jagah ek doosra link generate karti hain jo main URL link se chota hota hai, aur yeh link us link se redirect ho jaata hai jis URL link ko short kiya gya ho.
Jab hum URL shortner se kisi URL link ko short karte hain aur humen jo short link milta hai URL shortner dwara wo link ek alag tarah ka link hota hai, jab koi us short link par click karta hai to woh link aapke main link se redirect ho jaata hai jis link ko aapne short kiya tha. Lekin main link se redirect hone se pehle woh link humen kisi doosri website par le jaata hai jahan humen kuch second ke liye ads dekhne ko milte hain, aur isi ads dwara URL shortner website ki kamai hoti hai jiska kuch percent hissa URL website rakhti hai aur baaqi humen de deti hai.
URL shortner se Kamai Kaise Hoti Hai?
Jab aap kisi URL shortner website par account banaate hain aur URL shortner website ki madad se URL links ko short karke doosre logon ko share karte hain aur phir jab koi user aapke dwara share kiye gaye us short link par click karta hai to sabse pehle usko kuch ads dekhne ko milenge, jiske baad wo short link aapke main link par redirect ho jaayega jis link ko aapne short kiya tha. Isko aap is tarah se samajhiye ki jab aap kisi ko kisi website ke kisi page ya post ya kisi tarah ka bhi URL link URL shortner se short (chota) karke bhejte hain to jab wo user jisko aapne short link bheja hai us short link par click karta hai to woh link pehle kisi aur website par user ko le jaata hai, jahan usko ads (vigyapan) dekhne ko milte hain uske baad woh us main link par pahuchta hai jis link ko aapne URL shortner dwara short kiya tha.
URL shortner se kamai inhi ads se hoti hai jo short links par click karne par dikhai dete hain.
Jab aap koi link URL shortner se short karke doosre logon ko share karte hain aur woh log us link par click karte hain to pehle unko ads diikhte hain aur inhi ads se aapki kamai hoti hai.
Kamai kitni hogi yeh ispar depend karta hai ki kitne log us short link par click karte hain aur kis-kis desh se log us short link par click karte hain.
Aamtaur par USA, UK, Canada jaise deshon se agar log click karte hain to acchi kamai hoti hai, kyunki wahan ke ads mahenge hote hain aur unhi ads se humen paise milte hain.
Aamtaur par 1000 views par yaani jab aapke short link par 1000 click hote hain to aapko 1 dollar se 15 dollars tak mil sakte hain.
Short links par dikhaye jaane wale ads se hi URL shortner websites ki income hoti hai jiska lagbhag 20 se 30 percent URL shortner websites apne paas rakhti hai aur baaqi apne publishers ko deti hain.
Bahut si URL shortner websites hain jo keval links ko short karti hain aur woh kisi tarah ka ad serve nahi karti hain. Aisi websites se income nahi hoti hai, Jaise Google URL Shortener ya Bitly URL Shortner.
Short links ko aap kahin bhi share kar sakte hain, jaise social media groups, pages yahan se aapko bahut acche click aur views milenge.
0 Comments
Post a Comment