Agar aap ek bank account holder (khaatadharak) hain to aapko Debit/ATM Card ke mahatva (importance) ka andaza hoga. Aaj ke time mein agar aapke pas bank account hai to aapke paas Debit Card bhi hona chahiye. Agar aapke paas Debit Card nahi hai to shayad aap banking ki sabhi suvidhaon ka laabh nahi utha payenge. Debit Card ki madad se hum online bhugtaan (payment) kar sakte hain, ATM se cash withdraw kar sakte hain, POS machine ke zariye kisi bhi bade store par payment kar sakte hain. Debit Card hone se ek tarah se aapko online banking ki saari facilities mil sakti hain, jaise ki aap Mobile Banking aur Internet Banking ke liye register kar sakte hain, aur Mobile Banking aur Internet Banking services ko activate kar sakte hain.
Ab jab Debit Card ke itne saare faide hain to har khaatadharak (account holder) Debit Card lena chahega.
Debit Card issue karaane ke liye khaatadharak ko bank mein application dena hota hai, jiske baad bank khaatdharak ko Debit Card issue kar deta hai. Aamtaur par khaatadharak ko Debit Card issue karaane ke liye ek Application Form ko fill karna hota hai, uske baad us Application Form ko bank mein jama karna hota hai.
Lekin chunki ab samay badal chuka hai aur ab Internet Banking aur Mobile Banking ka chalan badh raha hai, isliye ab khaatadharak ko branch jaane ki zaroorat nahi hai. Zyadatar banks ab apni services aur facilities online provide karte hain, isliye ab aapko branch mein jaane ki bahut kam zaroorat padti hai, ab aap apne banking se sambandhit kaamon ko khud hi kar sakte hain. Jaisa ki humen pata hai ki Internet Banking aur Mobile Banking se hum apne bank account ko poori tarah se control aur manage kar sakte hain. Aur Internet Banking, Mobile Banking ki facility aaj ke time mein sabhi chote-bade bank de rahe hain.
- Internet Banking Kya Hai Aur Iska Istemaal Kyun Kiya Jata Hai? Internet Banking ke Kya Faide Hain?
- Mobile Banking Kya Hai, Aur Iske Kya Faide Hain?
Agar aapne Internet Banking seva le rakhi hai to aap Online Debit Card ke liye request bhi kar sakte hain, aur aapko aapka Debit Card aapke pate par bhej diya jayega. To Internet Banking ki madad se hum Online Debit Card ke liye bhi apply kar sakte hain, aur humen branch jaane se bhi chutkara mil jaata hai.
Is post mein hum baat karne wale hain Canara Bank ke Debit Card ke baare mein, agar aap Canara Bank ke khaatadharak hain aur aap Canara Bank ka Debit Card issue karana chahte hain to aap kaise Canara Bank ke Debit Card ke liye online apply karenge? iske baare mein hum aapko A to Z sabhi jaankariyan denge.
Agar aapka account Canara Bank mein hai aur aap Canara Bank ki Internet Banking facility ka laabh le rahe hain to aap Canara Bank ki Internet Banking facility se Canara Bank ke Debit Card ko bhi issue kara sakte hain.
Canara Bank ke Debit Card ko online apply karne ke liye humaare paas Canara Bank ki Internet Bank seva moujood honi chahiye tabhi hum Canara Bank ke Debit Card ke liye online request/apply kar sakte hain.
Canara Bank mein account kholte time agar aapne Canara Bank ki Internet Banking seva ko chuna hai to aapko Bank Internet Banking ka User ID aur Password dega jiski madad se aap Canara Bank ki Internet Banking mein login kar sakte hain aur Canara Bank ki Internet Banking sevaon (services) ka laabh le sakte hain.
To agar aap Canara Bank ki Internet Banking sevaon ka laabh le rahe hain to aap Canara Bank ke Debit Card ke liye online apply kar sakte hain. To Internet Banking dwara Canara Bank ke Debit Card ko online apply/request karne ke liye humaare dwara bataya jaa rahe in steps ko follow kariye.
Step 1: Sabse pehle aapko Canara Bank ki official website par visit karna hoga. Canara Bank ki official website par visit karne ke baad aapko Canara Bank ki Internet Banking sevaon (services) ke liye login hona padega. Canara Bank ki Internet Banking mein login hone ke liye aapko upar ki taraf 'Login to NetBanking' ka option dikhai dega, to aapko isi option par click karna hoga.
Step 2: 'Login to NetBanking' par click karne par ek naya tab open hoga, aur yahan aapko apne Internet Banking ka User ID aur Password daalna hoga. Internet Banking ka User ID aur Password daalne ke baad aapko 'SIGN IN' par click karna hoga.
Step 3: 'SIGN IN' par click karne ke baad, aap Canara Bank ki Internet Banking mein login ho jayenge. Canara Bank ki Internet Banking mein login hone ke baad aapko yahan 'Cards' ka option milega to aapko isi option par click karna hoga.
Step 4: 'Cards' par click karne ke baad aapko left side 'New Debit Card Request' ka option milega, to Debit Card request karne ke liye aapko 'New Debit Card Request' par click karna hoga.
Step 5: 'New Debit Card Request' par click karne ke baad aapko apna Account Number Select karna hoga, phir aapko Card Type Select karna hoga. Yahan aapko 3 tarah ke Cards ke option milenge Mastercard, RuPay aur Visa, aapko inmein se jo Card chahiye usko select kar sakte hain.
Step 6: 'Submit' par click karne ke baad, aapko aapke dwara di gai details ko verify karna hoga aur iske liye aapko 'Confirm' par click karna hoga.
Step 7: 'Confirm' par click karne ke baad aapke registered Mobile Number par ek OTP aayega, aur woh OTP aapko yahan daalna hoga. OTP daalne ke baad aapko 'Submit' par click karna hoga.
'Submit' par click karne ke baad aapke naye Debit Card ki request bank mein registered ho jayegi. 3 se 5 din ke beech mein aap apne branch se sampark kar sakte hain. Aur jab aapka Debit Card aapke branch mein bhej diya jayega to ho sakta hai aapko uske liye SMS bhi kiya jaaye. Sath mein aapko ek Refrence Number bhi diya jeyga, jisse ki aap apne Debit Card ko track kar sakte hain.
Iske baad aapko 'OK' par click karna hai, aur Debit Card ki request registered hone ke baad laghbhag 1 hafte tak intezar karna hoga. Jab bank mein Debit Card dispatched hoga to aapko SMS ya call karke inform kar diya jayega aur aapko branch jaakar apna Debit Card recieve karna hoga.
Agar aapka account Canara Bank mein hai aur aap Canara Bank ki Internet Banking facility ka laabh le rahe hain to aap Canara Bank ki Internet Banking facility se Canara Bank ke Debit Card ko bhi issue kara sakte hain.
Canara Bank ke Debit Card ko online apply karne ke liye humaare paas Canara Bank ki Internet Bank seva moujood honi chahiye tabhi hum Canara Bank ke Debit Card ke liye online request/apply kar sakte hain.
Canara Bank mein account kholte time agar aapne Canara Bank ki Internet Banking seva ko chuna hai to aapko Bank Internet Banking ka User ID aur Password dega jiski madad se aap Canara Bank ki Internet Banking mein login kar sakte hain aur Canara Bank ki Internet Banking sevaon (services) ka laabh le sakte hain.
To agar aap Canara Bank ki Internet Banking sevaon ka laabh le rahe hain to aap Canara Bank ke Debit Card ke liye online apply kar sakte hain. To Internet Banking dwara Canara Bank ke Debit Card ko online apply/request karne ke liye humaare dwara bataya jaa rahe in steps ko follow kariye.
Step 1: Sabse pehle aapko Canara Bank ki official website par visit karna hoga. Canara Bank ki official website par visit karne ke baad aapko Canara Bank ki Internet Banking sevaon (services) ke liye login hona padega. Canara Bank ki Internet Banking mein login hone ke liye aapko upar ki taraf 'Login to NetBanking' ka option dikhai dega, to aapko isi option par click karna hoga.
Step 2: 'Login to NetBanking' par click karne par ek naya tab open hoga, aur yahan aapko apne Internet Banking ka User ID aur Password daalna hoga. Internet Banking ka User ID aur Password daalne ke baad aapko 'SIGN IN' par click karna hoga.
Step 4: 'Cards' par click karne ke baad aapko left side 'New Debit Card Request' ka option milega, to Debit Card request karne ke liye aapko 'New Debit Card Request' par click karna hoga.
Step 5: 'New Debit Card Request' par click karne ke baad aapko apna Account Number Select karna hoga, phir aapko Card Type Select karna hoga. Yahan aapko 3 tarah ke Cards ke option milenge Mastercard, RuPay aur Visa, aapko inmein se jo Card chahiye usko select kar sakte hain.
Card Type Select karne ke baad aapko Card Usage Type Select karna hoga. Card Usage Type ka matlab hota hai Card ke upyog ka prakaar, to uske liye yahan aapko 2 option milte hain 'Domestic' aur 'Domestic + International'. Domestic ka matlab hota hai deshiya jo ki keval India mei hi kaam karega to agar aapko apne Debit Card ko keval India mein hi istemaal karna hai to aapko 'Domestic' select karna hoga. 'Domestic + International' ka matlab hota hai ki India ke alawa duniya ke doosre deshon mein bhi istemaal kiya jaa sakta hai. To agar aap chahte hain ki aapka Debit Card India ke alawa doosre deshon mein bhi istemaal kiya jaa sake to aapko 'Domestic + International' select karna hoga. Account Number, Card Type aur Card Usage Type Select karne ke baad 'Submit' par click karna hoga.
Step 7: 'Confirm' par click karne ke baad aapke registered Mobile Number par ek OTP aayega, aur woh OTP aapko yahan daalna hoga. OTP daalne ke baad aapko 'Submit' par click karna hoga.
'Submit' par click karne ke baad aapke naye Debit Card ki request bank mein registered ho jayegi. 3 se 5 din ke beech mein aap apne branch se sampark kar sakte hain. Aur jab aapka Debit Card aapke branch mein bhej diya jayega to ho sakta hai aapko uske liye SMS bhi kiya jaaye. Sath mein aapko ek Refrence Number bhi diya jeyga, jisse ki aap apne Debit Card ko track kar sakte hain.
Iske baad aapko 'OK' par click karna hai, aur Debit Card ki request registered hone ke baad laghbhag 1 hafte tak intezar karna hoga. Jab bank mein Debit Card dispatched hoga to aapko SMS ya call karke inform kar diya jayega aur aapko branch jaakar apna Debit Card recieve karna hoga.
0 Comments
Post a Comment