Paytm Business Account Kya Hai?
Agar aap bhi online payment karte hain chahe aap kisi ko paise bhejte hon , online ticket booking karte hon, online utility bill ka payment karte hon, ya phir recharge ya online products purchase karte hain to aapko Paytm ke baare me zaroor pata hoga . Paytm is time India ka sabse zyada popular Payment app maana jaata hai . Paytm ki maane to yeh India ka no.1 Payment app hai aur iske lagbhag 200 million users hain .
Jo log Paytm ka istemaal karte hain woh aamtaur par kisi ko paise bhejne ke liye , utility bills ke payment ke liye , ticket booking ke liye , recharge waghaira ke liye karte hain . Aapko pata hoga ki Paytm UPI dwara kaam karta hai aur iski madad se hum kisi ko paise bhej bhi sakte hain aur kisi se paise receive bhi kar sakte hain . Paytm is samay India ka sabse popular Online Payment network hai , isliye zyadatar log ise online payment ke liye istemaal karte hain . Aur payment ke liye hum pehle Paytm par account banate hain , uske baad hum Paytm me paise add karte hain aur un paison se online payment karte hain . Online payment ke liye hum Paytm ka jo account banate hain woh Paytm Wallet Account hota hai .
Waise humne Paytm ke
baare me pehle hi ek article likh rakha hai jinko nahi pata ki Paytm kya hota hai wo is article ko padhen .
Paytm Kya Hai? - PaytmKyun Use KiyaJaata Hai? - PaytmIstemaal Karneke KyaFaide Hain?
To is artilce me hum aapko batayenge ki Paytm Business Account kya hota hai aur yeh Account kyun istemaal kiya jata hai , is account ke kya faide hain sab aapko batayenge .
Paytm Business Account Kya Hai?
Aur woh 3 Accounts Yeh Hain:
- Paytm Links on Chat/SMS/Email
- Payment Gateway For Website/App
- Mobile Payments at Store
Paytm Links on Chat/SMS/Email: Is account se hum Paytm ki Payments link bana sakte hain, aur is link ko humen jisse payment lena ho usko bhejenge aur jisko hum yeh link bhejenge woh is link ke zariye humen payment kar sakta hai. Paytm Links dwara Payment paane ke liye merchant ko Paytm ke Payment links banana hote hain aur unko apne customers ko bhejna hota hai jiske zariye customers merchant ko payment karta hai aur is tarah merchant apna payment paata hai.
Payment Gateway For Website/App: Payment Gateways aksar aapne online shopping websites par dekhe honge. Jab aap kisi e-commerce website ya online shopping se koi product khareedte hain to aapko online payment karne ka option bhi milta hai, aur isi ko Payment Gateway kaha jaata hai. Payment Gateway ki madad se online shopping websites apne customers se online payment leti hain.
Paytm Gateway bhi yahi kaam karta hai isko hum apni website ya apne mobile app me laga sakte hain, jiske zariye log humen payment kar sakte hain aur hum payment receive kar sakte hain.
Mobile Payments at Store: Aapne bahut si aisi dukane (shops, stores) dekhi hongi jahan likha hota hai ‘Paytm Accepted Here’ matlab ki yahan Paytm dwara bhugtaan svikaar kiye jaate hain. Aise stores par aapko Paytm ka QR code bhi dikhai deta hoga, aur aise store aap apne Paytm Wallet se payment kar sakte hain. Payment karne ke liye aapke mobile me Paytm app hona chahiye aur Paytm Wallet account hona chahiye, sath hi usme balance bhi hona chahiye tab aap apne Paytm app se us store ke Paytm QR code ko scan karke payment kar sakte hain. ‘Mobile Payments at Store’ ka yahi matlab hota hai ki merchant ko QR code ki suvidha milegi jisse ki woh apne customers se mobile dwara payments paa sakta hai.
Paytm Business Account ka Istemaal Kyun Kiya Jaata Hai?
Paytm Business Account Payment ko online receive karne ke liye kiya jaata hai. Paytm Business Account se Merchant (Vyapari) ko yeh suvidha milti hai ki wo apne customers ke zariye online payment ko receive kar sake. Paytm Business Account ka istemaal karte hue India bhar me sabhi Paytm customers se online payment receive kiya jaa sakta hai. Paytm Business Account online payment lene ke liye aaj ke samay me sabse tez aur behtareen tareeka hai, kyunki India me Paytm ki lokpriyata doosre payment networks se kahin zyada hai aaj ke time me Paytm ke lagbhag 200 millions customers hain, isliye Paytm Business Account customers se paise lene ka sabse accha tareeka maana jata hai aur isiliye Paytm Business Account ka istemaal bhi kiya jaata hai.
Paytm Business Account ke Kya Faide Hain?
Paytm Business Account ke Kya Faide Hain?
Agar aap Paytm Business Account banate hain to aapko iske bahut faide milenge. Online mode se payment paane ke liye Paytm Business Account sabse tez, surakshit aur aasan zariya hai.
Paytm Business Account Sabhi Payment Methods ko Accept Karta Hai: Agar aapke paas Paytm Business Account hai to customers aapko kai methods se payment kar sakte hain, jaise UPI, Debit/Credit Card, Net Banking aur Paytm Wallet in sabhi methods se aap apne customers se payment le sakte hain.
Quick Registration: Paytm Business Account aap apne mobile number se turant bana sakte hain. Paytm Business Account banane ke liye aapko ‘Paytm for Business’ app par Sign Up karna hoga ya phir aap Paytm For Business website par jaakar bhi Sign-Up karke apna Paytm Business Account bana sakte hain.
QR Code ke Zariye Payment: Paytm Business Account se aap apna Payment QR Code bhi bana sakte hain. Is QR Code ki madad se aap customers se Payment le sakte hain. Is QR Code ko aap SMS, Chat ya Email se kisi ko bhejkar bhi payment le sakte hain. QR Code ko aap print karke apne cash counter par bhi laga sakte hain, ya customers se payment lene ke liye customers ko apne mobile me bhi QR Code dikha sakte hain. QR Code ko customers apne Paytm app se scan karte hain aur Paytm Wallet se payment karte hain. Ye sabse aasan aur tez tareeka hai payment karne ka aur payment lene ka bhi.
Request Money: Paytm Business Account se aap kisi se paise ke liye request (nivedan) bhi kar sakte hain. Is feature ki madad se payment ekattha karne ke liye aap Paytm Links banakar chat aur email se kisi ko bhejkar unse paise ke liye request kar sakte hain.
Paytm Link banane ke liye aapko amount (रकम, raqam) add karna hoga aur ek description (विवरण, vivaran) banana hoga, iske baad aapka link taiyar ho jayega. Aap is link ko jinse paise lene hon unko bhej kar paise ke liye request kar sakte hain.
Real Time me Payment Track Kar Sakte Hain: Paytm Business Account se aap apne Payment ka pata laga sakte hain. Aap jab bhi koi payment receive karenge to aapko SMS aur push notification dwara soochit kiya jaayega. Aapne jitne bhi payments receive kiye honge unko check kar sakte hain, inititated refunds ko bhi check kar sakte hain. Aur aap apne sabhi bank transfers ko bhi dekh sakte hain.
Instant Bank Settlements: Filhaal abhi yeh suvidha Paytm Business Account me nahi hai ki aap jab chahen turant paise aapke bank account me aajayen. Lekin iske liye Paytm dheere-dheere instant settlement ko apne partners ke liye launch kar raha hai, jisse ki aap jab chahen paise apne bank account me manga sakte hain. Lekin abhi Paytm aapko payment receive karne ke agle din us paise ko aapke bank account me automatic bhej deta hai.
0 Comments
Post a Comment