Amazon Associate Program Kya Hai?
What is the Amazon Associates program?
Amazon Associates Account Kaise Banayen?
How to Create Amazon Associates Account?
Amazon Associates Program Kya Hai?
Amazon Associates ek affiliate program hai, jiski madad se affiliate link banaya jaa sakta hai, aur jab us link ko koi website owner ya blogger apni website ya apne blog par daalta hai aur viewers/visitors jab us link par click karke Amazon ke products ko khareedte hain to isse us website owner aur blogger ki kamai hoti hai. Yeh kamai product ke price aur category par based hoti hai. Har product ko alag-alag category me rakha gya hai. Aur har category ke product ke sell par alag-alag commission rakhi gai hai. Yeh commission percent me di jaati hai aur har category ke product ki commission alag-alag percent me hai.
Aisa nahi hai ki sirf website owners ya bloggers hi Amazon Associates Program ko join karke online income kar sakte hain, balki koi bhi shakhs is program ko join kar sakta hai aur Amazon Affiliate Program ke zariye kamai kar sakta hai.
Isko aur aasan bhasha me aap is tarah se samajh sakte hain.
Amazon Associates Program ek Affiliate Program hai jiski madad se Amazon ke products ko sell karaya jaata hai aur Amazon uske badle us product ki price aur category ke base par is program ke zariye product sell karane wale ko kuch percent ka commssion deta hai.
Yeh ek tarah se promotion aur advertising hai jiske zariye consumers Amazon ke products ki taraf attracted hote hain aur usko khareedte hain.
Agar aap Affiliate Program ke baare me nahi jaante hain to aap humara yeh article padhen.
Jab aap Amazon Associates Program ko join kar lete hain to aapko ek aise platform ki zaroorat hoti hai jahan aap audience interact ho saken. Jaisa ki humne pehle hi bata diya hai ki Amazon Associates ek Affiliate Program hai isko hum Amazon Affiliate Program bhi kahte hain. Aur Affiliate Program ko join karke hum affiliate marketing karte hain, yaani hum kisi company ke products ya services ko sell karwaate hain aur company uske badle humen kuch percent ka commission deti hai. Lekin products/services ko sell karwaane ya unke promotions ke liye humen aise platform ki zaroorat hoti hai jahan humse zyada se zyada audience jud sake, tabhi hum affiliate marketing kar sakte hain aur products/services ko sell karwa sakte hain ya promote kar sakte hain.
Aise platforms me khudki websites ya blog shamil hain, aur sath hi social media websites jaise Facebook, Instagram, Twitter, YouTube, WhatsApp etc. bhi shamil hain.
Jab aap Amazon Associates Program join kar lete hain to aapko wahan se affiliate links banana hota hai aur us link ko apne social media pages/groups me daalna hota hai taaki audience us link par click karke Amazon ke products ko khareed saken aur jab koi audience aapke affiliate link par click karke Amazon ka koi product khareedta hai to Amazon uska commission deta hai.
Amazon Affiliate Program me products ke links bhi bana sakte hain aur products ke banner ads bhi bana sakte hain. Amazon Affiliate ke ads ko aap apni website ya blog par laga sakte hain aur jab koi visitor us ad par click karke Amazon se kuch khareedega to us product ke price aur category ke hisaab se aapko kuch percent ka commission diya jayega.
Amazon Affiliate Program me alag-alag category ke products ke liye alag-alag commission diya jaata hai, aur yeh commission percent me hota hai. Agar aapko Amazon Associates Program ki Advertising Fees Schedule jaanna hai to yahan click karen. Associates Program Advertising Fee Schedule
Amazon Associates Account banane se pehle ya Amazon Affiliate Program Join karne se pehle aapke paas Amazon ka account hona chahiye. Amazon Shopping website ke liye account banana bahut aasan hota hai, kyunki aksar log Amazon se shopping karne ke liye Amazon ka account banate hain to jab aap Amazon ka account bana lete hain to ya aapke paas moujood hai to aapko Amazon Associates ki web page par jaana hoga. Amazon Associates web page par jaane ke liye yahan click kariye Amazon Associates
Is link par click karte hi aap is page par pahunch jayenge.
Amazon Associates account banane ke liye aapko 3 tarah ki details fill karni hogi.
Affiliate Marketing Kya Hai Aur Affiliate Marketing se Online Paise Kaise Kamaate Hain?
Amazon Associates se Kamai Kaise Karte Hain?

- Account Information
- Websites and Mobile Apps List
- Profile
Yeh teenon details dene ke baad aapka Amazon Associates Account ban jayega, uske baad aap Amazon se affiliate marketing kar sakte hain.
Aapko Amazon Associates Account kaise banana hai yeh hum aapko step by step samjhayenge.
Step 1: Sabse pehle aapko Amazon Associates web page par jaana hoga> Amazon Associates Web Page
Jab aap is web page ko apne browser par open karenge to kuch is tarah ka interface aapko dekhne ko milega.
Is page par aapko 'Join Now for Free' ka option dikhega, aapko uspar click karna hoga.
Step 2:
Is step me pehle aapko apne Amazon Account se Login hona padega. Jab aap apne Amazon account se Login hojayenge to ek naya page open hoga jo kuch is tarah ka dikhai dega. Yahan aapko aapka address dikhai dega jo aapne aapke Amazon Account me daal rakha hoga, jis address se aap Amazon ke products ki delivery receive karte hain wahi address aapko yahan dikhai dega.
Sabse pehle aapko Amazon account ke main contact ke baare me batana hoga jis Amazon account se aap Amazon Associates ka account bana rahe hain. To agar aap khud hi is account ke main contact hain to aapko pehle wala option 'The payee listed above' par click karke yahi wala option lena hoga.
Uske baad aapse poocha jaa raha hai ki kya aap U.S. ke nivasi hain? yeh asal me ke purpose se poocha jaa raha hai to agar aap U.S. ke rahne wale hain to 'Yes' ka option chuniye nahi to 'No' ka option chuniye agar aap U.S. ke nivasi nahi hain to. Uske baad 'Next' par click kariye.
Step 3: Next par click karne ke baad naya page khulega aur isme aapko apni Websites/Blogs aur apne Mobile Apps ko list karna hoga. Iske liye aapko apni sabhi websites ko yahan add karna hoga aur sath hi agar aapke Mobile Apps hain to unko bhi yahan add karna hoga. Websites aur Mobile Apps ko add karne ke baad aapko 'Next' par click karna hoga.
Iske baad jab aap scroll karte hue neeche jayenge to yahan aapko kuch options dikhai denge jinko aapko choose karna hoga.
Uske baad aapse poocha jaa raha hai ki kya aap U.S. ke nivasi hain? yeh asal me ke purpose se poocha jaa raha hai to agar aap U.S. ke rahne wale hain to 'Yes' ka option chuniye nahi to 'No' ka option chuniye agar aap U.S. ke nivasi nahi hain to. Uske baad 'Next' par click kariye.
Step 3: Next par click karne ke baad naya page khulega aur isme aapko apni Websites/Blogs aur apne Mobile Apps ko list karna hoga. Iske liye aapko apni sabhi websites ko yahan add karna hoga aur sath hi agar aapke Mobile Apps hain to unko bhi yahan add karna hoga. Websites aur Mobile Apps ko add karne ke baad aapko 'Next' par click karna hoga.
Step 4: Iske baad phir se ek naya page khulega, jisme aapko apni profile details fill karni hogi, Sabse pehle aapko ek Store ID banani hogi eg. muzaffar-21
Iske baad aapko apni Websites aur Mobile Apps ke baare me batana hoga ki wo kiske baare me hain unka niche, topic, subject kya hai. Iske liye aapko apni Websites ya aapke Mobile Apps ka chota sa introduction likhkar dena hoga.
Iske baad aapko aise topics choose karne hain jinko aapki Websites ya aapke Mobile Apps describe (varnan) kar rahin hon ya kar rahen hon. Iske baad aapko Amazon ka woh product choose karna hai jiska Affiliate Link ya ad aap apni Websites ya Mobile Apps me lagana chahte hain. Iske baad aapko aapki Websites ya Mobile Apps ke baare me batana hoga ki wo kis type ke hain to yahan aapko kai saare option milenge jahan se aap apna option chun sakte hain.
Iske baad aapko yeh batana hai ki aapki Websites par traffic yaani ki visitors kaise/kahan se aate hain.
Iske baad aapko batana hai ki aapki Websites aur aapke Apps se aap kamai kaise karte hain to yahan bhi aapko kai option milte hain, to jis source se aap apni Websites ya Apps se kamai karte hain usko choose kariye.
Iske baad aapko yeh batana hai ki aap links kaise banaate hain to yahan par bhi aap apna option choose kar sakte hain.
Iske baad aapko batana hai ki aapki Websites ya aapke Apps par har maheene kul kitne visitors aate hain.
Uske baad aapko yeh batana hai ki aap Amazon Associates Program kyun join karna chahte hain?
Phir aapko yeh batana hai ki aapne Amazon Associates ke baare me kahan se jaankari paai?
Uske baad aapko captcha fill karna hai aur Associates Program ke Terms & Conditions ko agree karna hai aur iske liye aapko Terms & Conditions par check mark lagana hoga, phir aap finish par click karke Account Creation process ko complete kariye.
Finish par click karne ke baad aapka Amazon Associates Account ban jaata hai aur aapko aapki unique Associate ID bhi mil jaati hai. Iske baad aapko sirf aapki Payment Details deni hoti hai jo aap baad me bhi de sakte hain ya phir aapko usi time dena ho jab aap Associate Account bana lete hain to 'Now' par click karke aap apni payment information fill karke save kar sakte hain.Ya agar aapko apni payment information baad me deni hai to aap 'Later' par click kariye.
Ab aapka Amazon Associates Account ban chuka hai aur aap Amazon Affiliate Marketing se Affiliate links aur ads banakar links ko social media websites par share kariye aur ads ko apne websites/blogs ya mobile apps me implement kariye. Jab visitors/viewers aapke affiliate links ya ads par click karke Amazon se koi product purchase karenge to uska commission aapko diya jaayega aur isse aapki acchi khasi kamai hogi.
0 Comments
Post a Comment