- Bank of Baroda ki Internet Banking ke Liye Online Register Kaise (Activate) Karen?
- How to Register Online For Bank of Baroda Internet Banking?
- Bank of Baroda ki Internet Banking ke Liye Online User ID Aur Password Kaise Paayen?
- How to get Online User Id and Password for Bank of Baroda Internet Banking?
Internet Banking aaj ke time me bahut importance rakhti hai. Internet Banking se hum online payment aur fund transfer kar sakte hain. Internet Banking se online payment aur fund transfer ke sath-sath bank account ko manage aur control kiya jaa sakta hai. Internet Banking se hum bill payment, recharge, ticket booking aur fund transfer karne ke sath-sath apne bank account me bahut se badlao bhi kar sakte hain. Internet Banking ke baare me adhik jaankari ke liye is article ko padhen.
Internet Banking Kya Hai Aur Iska Istemaal Kyun Kiya Jata Hai? Internet Banking ke Kya Faide Hain?Internet Banking Facility zyadatar bank provide karte hain siwaaye kuch grameen (rurals) banks aur kuch sahakari (cooperative) banks ko chhod kar sabhi bade government aur private bank jinko regular bank ya commercial bank kaha jaata hai wo sabhi Internet Banking Facility dete hain.
Agar aap Bank of Baroda ke account holder hain aur aapko Bank of Baroda ki Internet Banking Facility chahiye to aap in steps ko follow karke Bank of Baroda ki Internet Banking Facility ko activate kar sakte hain aur aap Bank of Baroda ki Internet Banking ke liye registration karke Internet Banking ki user ID aur Password banakar Bank of Baroda ki Internet Banking Facility ka laabh le sakte hain.
Sabse pehle hum yeh jaan lete hain ki online Bank of Baroda ki Internet Banking registration kya-kya hona zaroori hai.
Online Bank of Baroda Internet Banking Registration ke Liye Requirements:
- Debit/ATM Card
- Bank Account se juda Mobile Number
agar yeh 2 cheezen nahi hain to aap online khud se Bank of Baroda ki Internet Banking ka registration nahi kar sakte hain.
1. Step: Sabse pehle aapko Bank of Baroda ki official website par jaana hoga, iske liye aap yahan click karen. Bank of Baroda official website
Uske baad Bank of Baroda ki website ka interface aapko nazar aayega, jo aap is picture me dekh sakte hain.
2. Step: Uske baad aapko 'Digital' par click karna hoga jo ki aap neeche di gai picture me dekh sakte hain. 'Digital' par click karne ke baad aapko 'Instant Banking' ke neeche 'Baroda Connect (Internet Banking)' ka option nazar aayega. Aapko 'Baroda Connect (Internet Banking)' par click karna hoga.
Jaise hi aap 'Baroda Connect (Internet Banking)' par click karenge aapke saamne ek doosra page khulkar aayega.
3. Step: Jab doosra page khulega to yahan aapko neeche scroll karne par do option nazar aayenge 'How to Apply' aur First Time Login' aapko 'First Time Login' par click karna hoga.
4. Step: 'First Time Login' par click karne par aapko ek link nazar aayega aapko is link par click karna hoga. Aur jaise hi aap is link par click karenge to ek naya page open hoga.
5. Step: Link par click karne par aapse aapke Debit Card ki details puchi jaayengi, jaise Debit Card Number, Debit Card ki Expiry Date aur ATM PIN. Yeh sabhi details aapko deni hogi aur captcha dekar 'Validate' par click karna hoga.
Yahan aapko ek baat ka khayal rakhna hoga ki agar aapne 'Virtual Keyboard' par correction tick (✔) laga rakha hai to aapko Virtual Keyboard se hi ATM PIN daalna padega. Jaisa ki aap neeche picture me dekh sakte hain. Virtual Keyboard jo aapko is page me dikhaya jaa raha hai usi se aapko ATM PIN type karna hoga. Lekin agar aapne 'Virtual Keyboard' par correction tick (✔) nahi lagaya hai to aap apne PC ke keyboard se ATM PIN type kar sakte hain.
6. Step: Jaise hi aap 'Validate' par click karenge aapke bank account se registered mobile number par ek OTP bheja jaayega aur us OTP ko aapko yahan daalna hoga jaisa ki aap yahan dekh rahe honge. OTP daalne ke baad aapko 'Next' par click karna hoga.
7. Step: Next par click karne ke baad aapko User Details daalni hogi. Sabse pehle aap 'Type of Facility' ko choose karen isme aapko 2 options milte hain 1. View Rights Only 2. Both Views & Txn Rights. Aapko doosra wala option 'Both Views & Txn Rights' wala option choose karna hoga.
8. Step: Iske baad aapko user ID banani hogi, user ID me aap apni marzi se koi bhi 3 user ID bana sakte hain, in 3 user ID me se jo available hogi wo user ID aapki Bank of Baroda ki Internet Banking ki user ID ban jaayegi. Yahan aapko SingOn password aur Transaction Password bhi banana hoga aur diye gaye box me 2-2 bar apna SignOn Password aur Transaction Password daalna hoga.
SigOn Password Internet Banking me login karne ke liye istemaal hota hai aur Transaction Password jab aap apne bank account se koi transaction karte hain to istemaal hota hai. Sabhi details dene ke baad 'Next' par click kariye.
Next par click karne ke baad aapko aapka Internet Banking ka user ID mil jaayega. Iske baad aap apne user ID aur SignOn Password se Bank of Baroda ki Internet Banking me login kar sakte hain.
Jaisa ki aap neeche di gai picture me dekh sakte hain ki mujhe mera user ID mil gya hai aur main isse Bank of Baroda ki Internet Banking me login kar sakta hun aur Internet Banking seva ka laabh le sakta hoon.
Yahan aapko ek baat ka dhyan dena hoga ki Bank of Baroda ki Internet Banking ko register karne ke 24 ghante baad Internet Banking me aapke bank account ki details available hongi. Isliye jab aap Internet Banking ke liye registration karke login karen aur wahan aapke bank account ki koi detail na paayen to ghabraayen nahi aapke bank account ki details Internet Banking me 24 ghante ke baad dikhai dengi
1 Comments
Well done sadiq 👍👍👍
ReplyDeletePost a Comment