What is Paytm?
Why Paytm is Used?
What Are The Benefits of Using Paytm?
Paytm Kya Hai?
Paytm Kyun Use Kiya Jaata Hai?
Paytm Istemaal Karne ke Kya Faaide Hain?
Bahut se logon ko Paytm ko lekar man mein bahut se sandeh (doubt) hote hain. Halaanki aaj ke time mein Paytm istemaal karne walon ki sankhya bahut zyada hai, lekin wahin kuch log abhi bhi Paytm ke baare mein kuch khaas jaankari nahi rakhte hain. Abhi bhi bahut se log Paytm kya hota hai? nahi jaante hain. Aaj ke time mein Paytm ki badhti lokpriyata (popularity) ke kaaran log Paytm ke baare mein jaanne ki uksukta aur dilchaspi rakhte hain.
Paytm ke baare mein jaanne ke liye sabse pehle humen yeh samajhna hoga ki Paytm hota hai? to sabse pehle hum yeh jaanenge ki Paytm kya hota hai?
Paytm Kya Hota Hai?
Paytm ek e-wallet hai ya isko hum digital wallet bhi bol sakte hain. Aamtaur par wallet paise rakhne ke liye istemaal kiya jaata hai, wallet ko hum hindi mein batua kahte hain.
Jis tarah hum batue mein paise rakhte hain, bilkul waise hi hum e-wallet ya digital wallet mein bhi paise rakh sakte hain.
Batue mein paise rakhne aur e-wallet ya digital wallet mein paise rakhne mein itna antar hota hai ki batue (wallet) hum cash yaani naqdi rakhte hain, jo note ya sikkon ke roop mein hote hain. Lekin e-wallet ya digital wallet mein hum gair naqdi yaani non-cash hi rakh sakte hain. e-wallet ya digital wallet mein ek tarah se virtual money rakhi jaati hai, jisko hum chhoo nahi sakte hain, jaise ki note ya sikke ko chhoote hain. Aisa isliye hai, kyunki e-wallet ya digital wallet ka istemaal sirf online hi kiya jaa sakta hai.
Jis tarah se hum apne batue (wallet) mein paise rakhte hain, aur zaroorat padne par unka istemaal karte hain, unko kharch karte hain, usi tarah e-wallet ya digital wallet mein bhi paise rakhe jaa sakte hain, aur zaroorat padne par unka istemaal kiya jaa sakta hai, aur unko kharch kiya jaa sakta hai.
Paytm ek digital wallet hai, jismein paise daalkar zaroorat padne par unka istemaal kiya jaa sakta hai, aur unko kharch kiya jaa sakta hai.
Paytm ki website aur app dono hain, jisse hum Paytm ke digital wallet ka istemaal karte hain.
Pichle kuch saalon mein hi Paytm ne bahut zyada popularity haasil ki hai. Paytm ke use kiye jaane ki sabse badi wajah yeh hai ki aap is platform se kai tarah ke payments online kar sakte hain, jismein aapka samay bhi bachta hai aur aapki mehnat bhi.
Paytm se Mobile Recharge kiya jaa sakta hai, Bill ka bhugtaan kiya jaa sakta hai, Ticket book kiya jaa sakta hai. Aur iski sabse badi khasiyat yeh hai ki, Paytm Merchants (Vyapaari) account bhi provide karta hai, jiski madad se merchants payment accept karte hain.
India bhar mein 7 million aise merchant hain, jo Paytm ke QR Code dwara payment accept karte hain, isse merchants ko bhi aasaani hoti hai aur customers ko bhi. Merchant ko aasani yeh hoti hai ki merchant ko keval ek QR Code apne paas rakhna hota hai aur jab kisi customer ko us merchant ko payment karna hota hai to customer apne Paytm account se us QR Code ko scan karke bas kuch second mein pay kar deta hai. Aur merchant ko pay kiya jaane wala paisa seedha uske bank account mein pahuch jaata hai.
Isiliye aap dekhte honge ki bahut dukaano aur stores par Paytm ka QR Code milega, isse har vyakti ko payment karne mein aasaani hoti hai, woh cash ki jhanjhaton se fursat paa jata hai, aur QR Code scan karke turant pay kar deta hai.
Paytm se aaj ke time mein bahut si jaghon pe bhugtaan kiya jaa sakta hai. Isliye log aaj ke samay mein Paytm ka istemaal karte hain, kyunki unko Paytm se payment karne mein aasaani hoti hai, bajaaye iske ki woh cash se payment karen.
7 Million merchants India bhar mein Paytm dwara payment ko accept karte hain, isse andaaza lagaya jaa sakta hai ki Paytm kitna popular hai.
Paytm se na keval aap bhugtaan kar sakte hain, balki aap bhugtaan paa bhi sakte hain. Paytm mein transactions ke liye keval us mobile number ka istemaal kiya jaata hai, jo Paytm se register hota hai, yaa jisse Paytm ki ID banai gai ho.
Paytm se paise bhejne ke liye humen keval usi mobile number ki zaroorat hoti hai, jisse Paytm ka account banaya gya ho.
Jaise agar main kisi ko paise bhejta hun to mujhe us vyakti ka woh mobile number chahiye, jisse usne Paytm par ID banai hai, main keval us mobile number par Paytm ke zariye paise bhej dunga aur woh paise uske Paytm accoount mein chala jaayega.
Isi tarah agar mujhe koi Paytm se paise bhejna chaahe to main keval usko apna Paytm mein registered mobile number dedung aur woh us mobile number par paise bhej dega, aur woh mere Paytm account mein aajayega.

Paytm ka Kahan-Kahan Istemaal Hota Hai?
Paytm ka hum bahut saari jaghon par istemaal kar sakte hain.
Paytm se Recharge Kiya Jaa Sakta Hai: Paytm se Mobile Recharge kiya jaa sakta hai chaahe prepaid ho ya postpaid. Iske alaawa Paytm se DTH ka recharge kar sakte hain, aur Cable TV ka bhi recharge kar sakte hain, aur DataCard bhi recharge kar sakte hain. Iske alaawa toll tag recharge kar sakte hain.
Bill ka Paymet Kar Sakte Hain: Paytm se aap bahut tarah ki bill ka payment kar sakte hain, jaise bijli (electricity) ka bill, landline ka bill broadband ka bill, gas ka bill, pani ka bill, aur Credit Card ka bill bhi bhar sakte hain. In sabhi bills ka bhugtaan Paytm se aap ghar baithe hi kar sakte hain. Ab to Paytm se aap traffic challan ka bhi bhugtaan kar sakte hain. Paytm se insurance ke liye bhi bhugtaan kar sakte hain, aur insurance khareed bhi sakte hain. Paytm se EMI ka loan bhi chukta kiya jaa sakta hai.
Paytm se Ticket Book Kar Sakte Hain: Paytm se aap train ke tickets, flight ke tickets, bus ke tickets, movies ke tickets bhi book kar sakte hain.
Paytm se Kisi ko Paise Bheje Bhi Jaa Sakte Hain Aur Liye Bhi Jaa Sakte Hain: Paytm se hum badi aasaani se kisi ke Paytm account mein paise bhej sakte hain, iske liye humen jisko paise bhejne hain uska Paytm Number chahiye, jiski madad se hum usko paise bhej sakte hain, aur woh paise uske Paytm Account yaani Paytm Wallet mein chale jaayenge.
Paytm Number wahi mobile number hota hai, jisse Paytm ka account banaaya jaata hai.
Isi tarah hum Paytm ki madad se kisi se paise manga bhi sakte hain, iske lliye humen keval apna Paytm Number dena hoga, jiski madad se koi bhi vyakti apne Paytm account se humaare Paytm account mein paise bhej sakta hai.
Aisi situation mein paise bhejne aur lene wale dono ke paas Paytm account hona zaroori hai, tabhi Paytm se len-den kiya jaa sakta hai.
QR Code ke Zariye Payment: Paytm apne merchants ko QR Code ki suvidha deta hai, jiske zariye merhcant payment receive karta hai. Customers QR Code ki madad se apne Paytm account se merhcant ko payment kar sakte hain, iske liye customers ko apne Paytm se merchant ke Paytm ka QR Code scan karna hoga aur is prakriya se customer kisi merchant ko bahut aasaani se payment kar sakta hai. Customers dwara payment karne par paise merchant ke bank account mein chale jaayenge.
Scan & Pay: Paytm ki madad se grahak un jaghon par payment kar sakte hain jahan Paytm ke QR Code dwara Scane & Pay ko accept kiya jaata ho. Jaisa ki humne aapko pehle hi bata diya hai ki Paytm humen Merchant Account bhi provide karta hai, aur merchant ko QR Code diya jaata hai, jisko koi bhi customer apne Paytm Account se scan karke merchant ko bhugtaan kar sakta hai. Isse keval merchant ko hi payment lene mein aasaani nahi hoti hai, balki customer ko bhi payment karne mein aasaani hoti hai.
Paytm se Paise Apne Bank Account Mein Daal Sakte Hain: Agar aapke Paytm Account mein paise hain, aur aap usko apne bank account mein daalna chaah rahe hon to aap Paytm se yeh bhi kar sakte hain, aap apnePaytm ke wallet ke paise ko apne bank account mein transfer kar sakte hain.
Paytm Kaise Kaam Karta Hai?
Sabse pehle humko Paytm ki website, ya app mein jaakar 'Sign up' karna padta hai, ya yeh samajhiye ki Paytm par register hone ke liye ID banaani padti hai. Sign up karne ke liye aapke paas Mobile Number hona chahiye, aap apne Mobile Number aur Email ID ki madad se Paytm par sign up karke Paytm par registration kar sakte hain. Halaanki Email ID hona zaroori nahi hai, lekin aapke paas Mobile Number hona zaroori hai.
Bas aapko Paytm ki website ya app mein jaana hai, aur aapko 'Sign up' ka option choose karna hai, uske baad aapko apna Mobile Number daalna hai, aur ek Password banana hai, aap se Email ID bhi maanga jaayega, lekin wo 'optional' (vaikalpik) hai. Aapki marzi hai agar aap apna Email ID dena chaahen to de sakte hain.
Sign up ho jaane ke baad aapko Paytm ko istemaal karne ke liye aapko 'Log in' hona padta hai.
Paytm mein rakhe hue paison ka istemaal hum keval online hi kar sakte hain, ya doosre shabdon mein kahen to Paytm ke paison ko keval online hi kharch kiya jaa sakta hai, kyunki usmein pade paise ek virtual money hai, jisko hum chhoo nahi sakte hain, lekin unka istemaal kar sakte hain.
Jis tarah hum apni jeb mein pade paison ka istemaal bhugtaan ke liye karte hain, waise hi Paytm mein rakhe paison ka bhi istemaal hum bhugtaan aur anya tarah ki lenden ke liye kar sakte hain.
Paytm istemaal karne ka faida yeh hai ki, aapko apni jeb mein cash yaani note aur sikke nahi rakhne padenge, agar aap kahin khareedari karne jaa rahe hon, to aapko cash dekar payment karne ki zaroorat nahi hogi aap Paytm ki madad se bina cash ke turant payment kar sakte hain.
Paytm istemaal karne ka faida yeh bhi hai, ki yeh aapka time bhi bachaayega aur aapki mehnat bhi, jaise Mobile Recharge, DTH Recharge DataCard Recharge ke liye aapko kahin jaana nahi padega aap ghar baithe Paytm se yeh sabhi recharges kar sakte hain.
Iske alaawa bill payments jaise bijli ka bill, pani ka bill, gas ka bill, landline aur broadband ka bill in sab bills ka bhugtaan aap ghar baithe apne Paytm se online kar sakte hain, aur aapko kahin jaana nahi padega. Isse aapko mehnat bhi kam karni padegi aur aapka time bhi bachega.
Paytm se aap online ticket bhi book kar sakte hain, aur iske liye aapko kahin jaana nahi padega yeh saare kaam aap Paytm se ghar baithe hi kar sakte hain, chaahe Train Ticket book karna ho ya Flight, Bus ya Movies etc.
Paytm se kisi ko paise bheje jaa sakte hain, aur paise liye bhi jaa sakte hain.
Paytm ki madad se hum aasaani se QR Code scan karke payment kar sakte hain, aur isi tarah hum payment QR Code ki madad se paise receive bhi kar sakte hain.
Paytm Mein Paise Kaise Daalte Hain?
Jaisa ki humne aapko pehle hi bataya hai ki Paytm ek digital wallet hai, lekin wallet tabhi kaam mein aata hai jab usmein paise hon. Chunki Paytm bhi ek tarah ka wallet hi hai, jisse humko paise kharch karne hain, par ismein paise aayenge kahan se? kyunki bina paise ke hum isko istemaal mein nahi laa sakte hain.
Kyunki kisi bhi wallet se paise tab hi kharch kiye jaayenge jab usmein paise hon, aur digital wallet se humen payment hi karne hain, chaahe hum recharge karen, bill payment karen, ticket book karen, ya kisi ko paise bhejen yeh saare kaam tabhi honge jab digital wallet mein paise hon. To Paytm mein paise kahan se aayenge, jisse hum usko istemaal mein le aayen?
Paytm mein humko paise add karne padte hain. Aur yeh paise online maadhyam se add kiye jaate hain, paise add karne ke 4 tareeke hain.
Paytm Mein Money Add Karne ke Tareeke:
Paytm mein paise 4 tareekon se add kiye jaa sakte hain, Jo yeh hain

- BHIM UPI
- Net Banking
- Credit Card
- Debit Card
in 4 tareekon se aap Paytm mein paise daal sakte hain, aur phir uska istemaal kar sakte hain.
Paytm Istemaal Karne ke Kya Faide Hain?
Jaisa ki hum pehle hi bata chuke hain ki Paytm ek digital wallet hai, aur iska istemaal keval online bhugtaan ke liye hi kiya jaa sakta hai.Paytm mein rakhe hue paison ka istemaal hum keval online hi kar sakte hain, ya doosre shabdon mein kahen to Paytm ke paison ko keval online hi kharch kiya jaa sakta hai, kyunki usmein pade paise ek virtual money hai, jisko hum chhoo nahi sakte hain, lekin unka istemaal kar sakte hain.
Jis tarah hum apni jeb mein pade paison ka istemaal bhugtaan ke liye karte hain, waise hi Paytm mein rakhe paison ka bhi istemaal hum bhugtaan aur anya tarah ki lenden ke liye kar sakte hain.
Paytm istemaal karne ka faida yeh hai ki, aapko apni jeb mein cash yaani note aur sikke nahi rakhne padenge, agar aap kahin khareedari karne jaa rahe hon, to aapko cash dekar payment karne ki zaroorat nahi hogi aap Paytm ki madad se bina cash ke turant payment kar sakte hain.
Paytm istemaal karne ka faida yeh bhi hai, ki yeh aapka time bhi bachaayega aur aapki mehnat bhi, jaise Mobile Recharge, DTH Recharge DataCard Recharge ke liye aapko kahin jaana nahi padega aap ghar baithe Paytm se yeh sabhi recharges kar sakte hain.
Iske alaawa bill payments jaise bijli ka bill, pani ka bill, gas ka bill, landline aur broadband ka bill in sab bills ka bhugtaan aap ghar baithe apne Paytm se online kar sakte hain, aur aapko kahin jaana nahi padega. Isse aapko mehnat bhi kam karni padegi aur aapka time bhi bachega.
Paytm se aap online ticket bhi book kar sakte hain, aur iske liye aapko kahin jaana nahi padega yeh saare kaam aap Paytm se ghar baithe hi kar sakte hain, chaahe Train Ticket book karna ho ya Flight, Bus ya Movies etc.
Paytm se kisi ko paise bheje jaa sakte hain, aur paise liye bhi jaa sakte hain.
Paytm ki madad se hum aasaani se QR Code scan karke payment kar sakte hain, aur isi tarah hum payment QR Code ki madad se paise receive bhi kar sakte hain.
0 Comments
Post a Comment