Kotak Mahindra Bank ki Mobile Banking ki Puri Jaankari Hindi Mein
Kotak Mahindra Bank ki Mobile Banking Kya Hai?
Kotak Mahindra Bank ki Mobile Banking Mein Kya Features Hain?
Kotak Mahindra Bank ki Mobile Banking ke Kya Faide Hain?





 

Kotak Mahindra Bank ki Mobile Banking Kya Hai?

Kotak Mahindra Bank ki Mobile Banking doosre bankon ki Mobile Banking ke jaise hi hai, jisse aap online transactions kar sakte hain, jaise bill payment kar sakte hain, mobile recharge kar sakte hain, DTH recharge kar sakte hain, ticket book kar sakte hain, kisi ko paise bhej sakte hain NEFT, IMPS aur UPI ki madad se, apne account ka balance aur statement check kar sakte hain, iske alaawa bhi aap banking ke bahut se kaam bina bank branch gaye Kotak Mahindra Bank ki Mobile Banking se kar sakte hain, jo aap doosre bankon ki Mobile Banking se karte hain.
Jin logon ko nahi pata ki Mobile Banking kya hoti hai, woh log humaare is article ko padhen.

Har bank ki Mobile Banking mein alag-alag features hote hain, aur har bank apne Mobile Banking mein alag-alag seva aur suvidha dete hain. Aur Kotak Mahindra Bank bhi apne Mobile Banking ke liye anya bankon se hatkar seva aur suvidha deta hai. Kotak Mahindra Bank ki Mobile Banking mein aapko doosre bankon ki Mobile Banking se alag features dekhne ko milenge.


Kotak Mahindra Bank ki Mobile Banking Mein Kya Features Hain?

Kotak Mahindra Bank ki Mobile Banking mein aapko bahut se aise features milte jo doosre bankon ki Mobile Banking mein nahi milte hain.
  • Agar aapke paas Kotak 811 Account hai to aapko ismein Kotak 811 ka free Virtual Visa Debit Card milega, jiska koi varshik shulk nahi lagega.
  • Kotak Mahindra Bank ki Mobile Banking se account ka overview dekha jaa sakta hai, jismein hum apna account number, balance, MMID, Khaatadharak ka naam, IFSC dekh sakte hain, account se kiye gaye transactions dekh sakte hain.
  • Kotak Mahindra Bank ki Mobile Banking se account activity yaani khaate ki gatividhi chack kar sakte hain.
  • Kotak Mahindra Bank ki Mobile Banking se Account Statement (khaata vivaran) dekh sakte hain.
  • Kotak Mahindra Bank ki Mobile Banking se Fixed ya Recurring Deposit account khol sakte hain, aur unke rate bhi dekh sakte hain.
  • Kotak Mahindra Bank ki Mobile Banking se NEFT, IMPS, aur RTGS se kisi ko paise bheje jaa sakte hain.
  • Kotak Mahindra Bank ki Mobile Banking se se aap kabhi bhi bill ka bhugtaan kar sakte hain, sath hi due bill ka bhi bhugtaan kar sakte hain.
  • Kotak Mahindra Bank ki Mobile Banking se aap auto pay bhi kar sakte hain.
  • Kotak Mahindra Bank ki Mobile Banking se utility bill payment kar sakte hain, jaise bijli ka bill, gas ka bill, pani ka bill, ISP ka bill, postpaid mobile aur landline ka bill bhar sakte hain, in sabhi bills ka bhugtaan kar sakte hain.
  • Kotak Mahindra Bank ki Mobile Banking se Insurance Premium ka bhi bhugtaan kar sakte hain.
  • Kotak Mahindra Bank ki Mobile Banking se Mutual Funds ke liye bhi payment kar sakte hain.
  • Kotak Mahindra Bank ki Mobile Banking se Credit Card ke bill ka bhi payment kar sakte hain.
  • Kotak Mahindra Bank ki Mobile Banking se Magazine Subscriptions ke liye bhi payment kar sakte hain.
  • Kotak Mahindra Bank ki Mobile Banking se Donations ke liye bhi payment kar sakte hain.
  • Kotak Mahindra Bank ki Mobile Banking se Reant ka Payment bhi kar sakte hain.
  • Kotak Mahindra Bank ki Mobile Banking se Mobile Recharge aur DTH Recharge bhi kar sakte hain.
  • Kotak Mahindra Bank ki Mobile Banking se BHIM UPI ki madad se VPA ka istemaal karke kisi ko paise bhej bhi sakte hain aur kisi se paise manga bhi sakte hain.
  • Kotak Mahindra Bank ki Mobile Banking se Scan & Pay ki madad se payment kiya jaa sakta hai, ismein aapko payment karne ke liye apne Mobile Phone ke camera se QR Code scan karna hota hai.
  • Kotak Mahindra Bank ki Mobile Banking mein One Time Transfer ki suvidha milti hai, jisse aap kisi ko bhi paise bhej sakte hain, ismein aapko do vikalp milte hain, (1) Bank Account Number dwara paise bhejne ka (2) UPI dwara paise bhejne ka. Bank Account Number ki madad se aap kisi bhi Bank Account mein paise bhej sakte hain. Iske alaawa aapko haal ke transactions ko dohrane ka option bhi milta hai, jisse aapko paise bhejne ke liye bar-bar details bharne ki zaroorat nahi padegi.
  • Kotak Mahindra Bank ki Mobile Banking se ek sath kai logon ke account mein paise bheje jaa sakte hain.
  • Kotak Mahindra Bank ki Mobile Banking se apne kisi doosre Kotak Mahindra Bank ke account mein paise bheje jaa sakte hain.
  • Kotak Mahindra Bank ki Mobile Banking se paise bhejne ke liye Beneficiary add kar sakte hain aur unko manage kar sakte hain.
  • Kotak Mahindra Bank ki Mobile Banking se bill payment karne ke liye Biller ko add aur manage kar sakte hain.
  • Kotak Mahindra Bank ki Mobile Banking se auto pay ko manage kar sakte hain, auto ki madad se payment apne aap ho jaata hai aur aapko bar-bar details dene ki zaroorat nahi hoti hai.
  • Kotak Mahindra Bank ki Mobile Banking se ticket book kar sakte hain, jaise Train ticket, Flight ticket, Bus ticket, Movies ticket.
  • Kotak Mahindra Bank ki Mobile Banking se Flipkart aur Shopclues par kharidari karke payment kar sakte hain.
  • Kotak Mahindra Bank ki Mobile Banking se Hotel book kar sakte hain.
  • Kotak Mahindra Bank ki Mobile Banking se mobilePay kar sakte hain.
  • Kotak Mahindra Bank ki Mobile Banking se Debit Card apply kar sakte hain.
  • Kotak Mahindra Bank ki Mobile Banking se Image Debit Card apply kar sakte hain.
  • Kotak Mahindra Bank ki Mobile Banking se Debit Card PIN Regenerate kar sakte hain.
  • Kotak Mahindra Bank ki Mobile Banking se Debit Card ko Primary Account ke liye switch kar sakte hain.
  • Kotak Mahindra Bank ki Mobile Banking se Debit Card ke khone aur gum hone ki report kar sakte hain.
  • Kotak Mahindra Bank ki Mobile Banking se Debit Card ko activate aur deactivate kar sakte hain.
  • Kotak Mahindra Bank ki Mobile Banking se aap nivesh bhi kar sakte hain, jaise Fixed Deposit kara sakte hain Recurring Deposit kara sakte hain, IPO (ASBA) kara sakte hain.
  • Kotak Mahindra Bank ki Mobile Banking se Mutual Funds ke liye apply kar sakte hain.
  • Kotak Mahindra Bank ki Mobile Banking se Credit Card ke liye apply kar sakte hain.
  • Kotak Mahindra Bank ki Mobile Banking se Personal Loan ke liye apply kar sakte hain.
  • Kotak Mahindra Bank ki Mobile Banking se Health Insurance ke liye apply kar sakte hain.
  • Kotak Mahindra Bank ki Mobile Banking se 3 in 1 Account ke liye apply kar sakte hain, aur inmein Trading, Demat aur Linked account shamil hain.
  • Kotak Mahindra Bank ki Mobile Banking se Gold Loan ke liye apply kar sakte hain.
  • Kotak Mahindra Bank ki Mobile Banking se Card Loan ke liye apply kar sakte hain.
  • Kotak Mahindra Bank ki Mobile Banking se Home Loan ke liye apply kar sakte hain.
  • Kotak Mahindra Bank ki Mobile Banking se Kotak 811 Account ke liye Instacover ke liye apply kar sakte hain, aur iske liye aapko 811 rupees dene honge.


Kotak Mahindra Bank ki Mobile Banking se Bahut si Services (Sevaon) ke Liye Request (Nivedan) Kar Sakte Hain


  • Kotak Mahindra Bank ki Mobile Banking se Passbook ko activate aur deactivate kiya jaa sakta hai, Passbook activate karne par aapko ek request no. diya jayega jiski madad se aap apne nazdeeki Kotam Mahindra Bank se apne account ke liye Passbook paa sakte hain, Passbook facility ko activate karne par aapko Account Statement nahi bheja jayega.
  • Kotak Mahindra Bank ki Mobile Banking se Printed Statement ko De-Register kiya jaa sakta hai.
  • Kotak Mahindra Bank ki Mobile Banking se NACH Cancellation ke liye nivedan kiya jaa sakta hai.
  • Kotak Mahindra Bank ki Mobile Banking se Home Branch badalne ke liye nivedan kiya jaa sakta hai.
  • Kotak Mahindra Bank ki Mobile Banking se
  • Kotak Mahindra Bank ki Mobile Banking se Email ID ko Update kiya jaa sakta hai.
  • Kotak Mahindra Bank ki Mobile Banking se Mobile Number ko Update kiya jaa sakta hai.
  • Kotak Mahindra Bank ki Mobile Banking se PAN Update kiya jaa sakta hai.
  • Kotak Mahindra Bank ki Mobile Banking se FATCA Declare kiya jaa sakta hai.
  • Kotak Mahindra Bank ki Mobile Banking se Nominee Update kiya jaa sakta hai.
  • Kotak Mahindra Bank ki Mobile Banking se Cheque Status dekh sakte hain.
  • Kotak Mahindra Bank ki Mobile Banking se Cheque book ke liye request kar sakte hain.
  • Kotak Mahindra Bank ki Mobile Banking se Cheque Stop kar sakte hain.

Kotak Mahindra Bank ki Mobile Banking ke Kya Faide Hain?


Kotak Mahindra Bank ki Mobile Banking se bahut ssare faide hain. Jaise ki aapne iske sabhi features ko jaan liya hai, to aap samajh sakte hain ki Kotak Mahindra Bank ki Mobile Banking aapko kahan-kahan faida pahucha sakti hai. Kotak Mahindra Bank ki Mobile Banking se aap banking sevaayen apne mobile par hi paa sakte hain, iske liye aapko bank jaane ki zaroorat nahi hoti hai. Kotak Mahindra Bank ki Mobile Banking hone se ek tarah se aap samajh sakte hain ki aapka Bank aapke Mobile Phone mein hai, isse aap keval cash ke transactions nahi kar sakte hain, iske alaawa aapko Kotak Mahindra Bank ki Mobile Banking mein dheron sevaayen milti hain, jinse aapke banking ke bahut se kaam aasan ho jaate hain. Kotak Mahindra Bank ki Mobile Banking hone se aapko bar-bar branch jaane ki zaroorat nahi padegi aap bahut se kaam apne mobile phone se ghar baithe hi kar sakte hain, jaise kisi ko paise bhejne hon chaahe kisi bhi bank account mein paise bhejne hon aap aasani se Kotak Mahindra Bank ki Mobile Banking ka istemaal karke bhej sakte hain.  
Agar aapko Credit Card, Personal Loan, Image Debit Card, Health Insurance, IPO (ASBA), Fixed/Recurring Deposit, 3 in 1 Account, Gold Loan, Car Loan, Home Loan, Instacover for 811, Debit Card ke liye aavedan (Apply) karne ke liye Kotak Mahindra Bank ki branch jaane ki zaroorat nahi hogi aap Kotak Mahindra Bank ki Mobile Banking se aavedan (apply) kar sakte hain.
Iske alaawa aap Kotak Mahindra Bank ki Mobile Banking se Passbook activate aur deactivate ke liye nivedan (request) kar sakte hain, Printed Statement ko de-register ke liye nivedan  kar sakte hain, NACH cancellation ke liye nivedan kar sakte hain, Home Branch badalne ke liye nivedan kar sakte hain.
Kotak Mahindra Bank ki Mobile Banking se bina bank branch gaye Email ID update kar sakte hain, Mobile Number update kar sakte hain, PAN update kar sakte hain, FATCA declaration kar sakte hain, Nomination update kar sakte hain.
Kotak Mahindra Bank ki Mobile Banking ka yeh bhi faida hai ki aap ghar baithe apne mobile se yeh sabhi kaam karenge jisse aapka time bhi bachega aur aapki mehnat bhi.
Kotak Mahindra Bank ki Mobile Banking se Debit Card apply kar sakte hain, Image Debit Card apply kar sakte hain, Debit Card ka PIN regenerate kar sakte hain, Debit Card ke gum hone ki report kar sakte hain, Debit Card ko activate aur deactivate kar sakte hain. 
Kotak Mahindra Bank ki Mobile Banking se Cheque Book ka status bhi dekha jaa sakta hai, Cheque Book ke liye request bhi kar sakte hain, Cheque rokne ke liye bhi request kar sakte hain.
Kotak Mahindra Bank ki Mobile Banking se aap Mobile Recharge kariye, DTH Recharge kariye, Bill Payment kariye, Ticket Book kariye ye sabhi suvidhaayen aapko Kotak Mahindra Bank ki Mobile Banking par milegi.

Kotak Mahindra Bank ki Mobile Banking Kaise Activate Karen?


Agar aapke paas Kotak Mahindra Bank mein koi account hai aur aapke paas Kotak Mahindra Bank ka CRN yaani Customer Relationship Number hai aur aapke paas Kotak Bank ka Debit Card hai sath hi aapka Mobile Number aapke Kotak Mahindra Bank ke account se linked hai to aap Kotak Mahindra Bank ki Mobile Banking seva ko activate kar sakte hain.
Agar aapne Kotak Mahindra Bank ke Mobile app se Kotak 811 account khola hai to aapki Mobile Banking turant activate ho jaayegi.
Kotak Mahindra Bank ki Mobile Banking ko activate karne ke liye sabse pehle aapko apne mobile phone Mahindra Kotak Bank ka Mobile app download karna hoga, uske baad aapko Log in karna hoga, agar aapne pehle se Kotak Mahindra Bank ki Mobile Banking ke liye registration nahi kiya hoga to aapko pehle Mobile Banking ke liye register karna padega, jismein aapko apne account ki detail bharni hogi uske baad aapko MPIN aur Transactions ke liye ek PIN banana hoga, iske baad aap Mobile Banking mein log-in ho sakte hain.