Isse pehle humne aapko Mobile  Banking ke baare me bataya tha, agar aap Mobile Banking ke baare me jaankari rakhte hain to Internet Banking ko samajhna bilkul aasan hoga.

Internet Banking aur Mobile Banking lagbhag ek hi jaise hain. Agar aapko nahi pata ki Mobile Banking kya hai to aap yeh article zaroor padhen.
Is article me hum jaanenge ki Internet Banking Kya Hai.
Aaj ke time me banking ko puri tarah digital kar diya gya hai, ab aapko paison ki len-den ke liye bank branch jaane ki zaroorat nahi padti hai. Keval paison ki len-den hi nahi balki ab aap chequebook aur debit card paane ke liye bhi online request kar sakte hain aur kuch dino me yeh aapko aapke address par bhej diya jaayega. Iske alaawa bhi aapko bahut saari suvidhaayen  Internet Banking se milengi, bas aap itna samajh lijiye ki Internet Banking hone se aapko aapke bank ki branch me bahut kam jaane ki zaroorat padegi, ya aapko keval tab hi branch jaane ki zaroorat padegi jab aapko naqdi (cash) jama karna ho ya nikaalna ho. Lekin waise aaj ke time me uske liye bhi aapko branch jaane ki zaroorat nahi padegi. Kyunki aap kisi doosre source se bhi apne account me paise daal sakte hain aur nikaalne ke liye bhi aapke paas kai option honge jaise ATM ya CSP. Iske alaawa aap Internet Banking ki madad se apne bank account ko puri tarah se control kar sakte hain aur manage kar sakte hain.
To chaliye sabse pehle jaan lete hain ki Internet Banking hoti kya hai?



Internet Banking Kya Hai?


Internet Banking ko samajhna bilkul aasan hai, jaisa ki iske naam se pata chal raha hai 'Internet Banking' yaani ki Internet dwara banking. Internet Banking ke liye aapke paas Computer ya Smartphone aur Internet connection hona chahiye. Internet Banking ek tarah ki Online Banking suvihda hai.

Internet Banking se aap apne bank account ko ghar baithe online control kar sakte hain. Internet Banking se aap apne bank account ki puri jaankari ghar baithe hi paa sakte hain. Internet Banking se aap apne account ke transactions ki jaankari paa sakte hain ki kab-kab kis time kitne transactions hue hain. Isse aapko pata chal jayega ki kab-kab kitne paise aapke account se gaye hain aur kitne aaye hain, isko hum 'transactions history' kahte hain. Internet Banking se aap kisi doosre bank account me paise bhej sakte hain, is tarah se aap Internet Banking ka istemaal karke kisi bhi vyakti ke account me paise bhej sakte hain, isko 'fund transfer kahte hain'. Internet Banking ki madad se aap kisi bhi tarah online payment kar sakte hain, jaise bill payment isme sabhi tarah ke bill payment shamil hain jaise bijli ka bill, pani ka bill, gas ka bill ityadi. Iske alaawa Internet Banking se online shopping websites par bhi payment kiya jaata hai. Internet Banking se fees ka bhugtaan bhi kiya jaata hai aur isse aap apna mobile recharge kar sakte hain DTH recharge kar sakte hain. Internet Banking se online tickets bhi book karte hain jaise Railway ticket, Air ticket, Bus ticket, Hotel ticket ityadi. Internet Banking se aapko bahut saari suvidhaayen milti hain aur Internet Banking se aap iske alawa bhi bahut kuch kar sakte hain, jiski charcha hum vistaar se karenge. Filhal humne keval aapko yeh bataya hai ki Internet Banking kya hai.




Internet Banking ka Istemaal Kyun Kiya Jaata Hai?


Internet Banking ka istemaal Banking aur transactions ko aasan aur suvidhajanak banaane ke liye kiya jaata hai.

Agar kisi ke paas Internet Banking seva moujood hai to usko transactions ke liye bahut aasani hogi sath hi usko apne bank account ko control karne ki suvidha bhi milegi. Internet Banking se hum apna bank account khud se control kar sakte hain hum usme jaise badlao karna chaahe kar sakte hain uske liye humen apne branch jaane ki zaroorat nahi padegi.
Jaise agar humen kisi ke bank account me paise bhejne hon to agar humaare paas Internet Banking hai to hum bina bank ki branch gaye hi online khud se kisi ke bank account me paise bhej sakte hain. Internet Banking ke maadhyam se paise bhejne ke liye humaare paas kai saare methods bhi moujood hote hain jaise ki bank ke paas hote hain, jaise NEFT, RTGS, IMPS.
Internet Banking ke hone se hum Online Debit Card ke liye request kar sakte hain aur hume bank branch jaane ki zaroorat nahi hogi, hume humara Debit Card humaare pate par mil jaayega. Internet Banking se Debit Card ko block kiya jaa sakta hai jabki Internet Banking na hone ki wajah se hume apna Debit Card block karwana hoto hume branch jaana padega. Internet Banking se Debit Card ko Block karne ke sath-sath naye Debit Card ko activate bhi kiya jaa sakta hai, Debit/ATM Card ka PIN bhi Generate kiya jaa sakta hai, Debit/ATM Card ki limit set ki jaa sakti hai. Internet Banking se hum apne account ke transactions ki jaankari paa sakte hain isse humko yeh jaankari milegi ki humaare account se kab-kab kitne paison ki len-den hui hai.
Internet Banking ka sabse bada faida yeh hai ki Internet Banking se sabhi tarah ke online payments ho sakte hain, jaise bill payment, fees payment ityadi. Iske alawa ek aur bada faida yeh hai ki Internet Banking se tickets bhi book kiye jaa sakte hain jaise Railway tickets, Air tickets, Bus tickets, Cinema tickets, Hotel tickets waghaira.
Internet Banking se mobile recharge, DTH recharge ityadi bhi hote hain. Inhi sab ki wajah se Internet Banking ka istemaal kiya jaa sakta hai, Internet Banking hone se aapko banking ki sabhi suvidha online milti hai.



Internet Banking ke Kya Faide Hain?



Internet Banking ke bahut saare faide hain, aur in faidon ko jaanne se pehle hum yeh jaan lete hain ki Internet Banking kaise banking seva ko bilkul aasani bana deti hai, iske liye hume jaanna padega ki Internet Banking se hum kya kya kar sakte hain.

Yun to agar hum saaf shabdon me kahen to Internet Banking se hum apne bank account ko puri tarah se control kar sakte hain, fund transfer, aur payment karne ke alaawa hum apne account me bahut se badlao bhi kar sakte hain. To chaliye sabse pehle hum jaan lete hain ki Internet Banking se hum kya kya kar sakte hain.


  • Internet Banking se hum apne bank account ke sabhi transactions dekh sakte hain
  • Internet Banking se bank account ka balance check kiya jaa sakta hai
  • Internet Banking se bank account ki e-passbook dekh sakte hain
  • Internet Banking se bank account ki summary check ki jaa sakti hai
  • Internet Banking se online Payments aur Transactions kiye jaa sakte hain, Payments me jaise bill, recharge, online shopping payments, fees & donations waghaira
  • Internet Banking se fund transfer kiya jaa sakta hai, iska matlab yeh hota hai ki aap Internet Banking ki madad se kisi bhi doosre bank account me paise bhej sakte hain, Fund Transfer karne ke liye Internet Banking par kai tarah ke methods aur options hain jaise NEFT, RTGS, IMPS ityadi
  • Internet Banking ke zariye aapko ghar baithe Debit/ATM Card ki services bhi milengi jaise new Debit Card ke liye nivedan aap Internet Banking se online kar sakte hain, iske alaawa Debit/ATM Card ka PIN generate kar sakte hain aur badal sakte hain, Debit/ATM Card ko activate aur block kar sakte hain, Debit/ATM Card ki limit set kar sakte hain
  • Internet Banking se Cheque book order kar sakte hain, aur sath hi aap cheque status dekh sakte hain, aur cheque payment ko stop bhi kar sakte hain
  • Internet Banking ki madad se bank account aur profile ko update aur change kiya jaa sakta hai, jaise email ID badal sakte hain Phone Number Badal sakte hain, iske alaawa PAN aur aadhar ko bhi update kar sakte hain
  • Internet Banking se Demand Draft bhi banwa sakte hain
ye sabhi sevayen hume Internet Banking me milti hain aur in sevaon ke liye hume bank ki branch me jaane ki zaroorat nahi padti hai yeh sabhi aap apne ghar par hi parapt karte hain.
To yeh faide hote hain Internet Banking ke ki aapko bar-bar branch jaane ki zaroorat nahi padti hai balki aap banking se judi sabhi sevayen aur suvidhayen ghar par hi paa jaate hain.
Ab baat karte hain Internet Banking ki seva paane ke liye kya-kya hona zaroori hai.

Internet Banking Seva Paane ke Liye Inka Hona Zaroori Hai


  • Bank Account: Internet Banking tabhi mil sakti hai jab humaare paas kisi bank ka account ho, isliye Internet Banking ke liye sabse pehle hume bank account kholwana hoga.
  • Computer ya Mobile Phone: Internet Banking ka upyog karne ke liye Computer ya Mobile Phone hona chahiye.
  • Internet Connection: Internet Banking hai to zahir si baat hai iske liye Internet Connection ki zaroorat padegi, kyunki Internet Banking ke sabhi kaam online hi hote hain aur iske liye internet connection ka hona zaroori hai.
  • Mobile Number jo Bank Account se Linked ho: Internet Banking ki seva paane ke liye aapko apna active mobile number aapke bank account se register karana hoga tabhi aapko Internet Banking ki seva milegi.
  • Debit/ATM Card: Agar aap khud se Internet Banking ko activate ya register kar rahe hain to aapke paas Debit/ATM Card hona chahiye tabhi aap Internet Banking ke liye registration kar sakte hain.
Internet Banking ke hone se logon ka time bachta hai, aur kam mehnat karni padti hai. Internet Banking se aap ghar baithe hi apne bank account par nazar banaye rakh sakte hain. Internet Banking se hum apne bank account ki sabhi jaankariyan bhi paa sakte hain sath hi hume itna adhikaar hota hai ki hum apne account ko apni tarah se manage kar saken aur control kar saken.
Yeh thi Internet Banking se judi thodi si jaankari halanki Internet Banking se judi keval basic jaankari hi humne yahan di hai jisse aapko Internet Banking ke baare me sahi se jaankari ho jaayegi. Internet Banking aur Mobile Banking se judi aur bhi jaankariyan hum aapko isi tarah se dete rahenge. Aapko yeh jaankari kaisi lagi iske baare me hume comment me batayen aur agar aapka koi sawal ya sujhav ho to wo bhi comment me batayen.